Posts

Showing posts from November, 2015

Abba

Main yeh socha karti thi... Aakhir Abba mere kya kaam hai karte? Na to tiffin ka dabba lekar office jaate hai... Na koi dukaan chalate hai... Dair se sokar bistar se uthate... Raat-Raat bhar jaagkar bijli ka bulb jalate... Kurta-Pajama pehne mann-hi-mann kuch bad-badate rehte... Kaagaz par kalam chalate rehte... Kaagaz par kalam chalate rehte... Aakhir Abba mere kya kaam hai karte? Ek din dekhi akhbaar mein Abba ki photo saath-saath likhi hui ek kavita "Nanhi Rajkumari - Naazoo" Tab main yeh samajh pai... Abba mere apni betiyaan se hai kitna pyar karte... Bas yahi kaam karte... Kaagaz par kalam chalate rehte... Abba mere apni betiyaan se hai bahut pyar hai karte... - Sun 

3B

Better Quality, Better Packaging, Better Pricing...

Business...

Go, start a business.

Agar Tum Saath Ho with Lyrics - Tamasha (2015) Ranbir n Deepika

Image

aey suno...

aey romil suno chalo kuch baat kare kuch tum apna sunao kuch main apna batao aey romil suno na... yeh aankhen naram na karo baarish ki kuch baatein karo aey romil suno chalo kuch baat kare badal par dekho itna sundar chand nikala hai zameen par dekho kaise shafed burf padi hui hai haawain dekho kaisi zulfein uda rahi hai aey romil suno na... chalo kuch baat kare... udasi chodo muskaan sajao kuch tanha raaton ke khawab batao aey romil suno chalo kuch baat kare kuch tum apna sunao kuch main apna batao aey romil suno na... - Sun

Heer Toh Badi Sad Hai - Full Video with Lyrics - Tamasha

Image

Kaun Kare... Kaun Kare... Ab Tamasha, Kaun Kare...

is duniya mein itna gum mila us duniya se umeed kya kare aakhir allah to wahi hai ab khawaish, kaun kare... ~*~ aapno ne jab dhoka diya gairon se tammana kya kare aakhir insaan to wahi hai ab wafaa, kaun kare... ~*~ dubi hain kasti apni sahil par saagar se shikayat kya kare aakhir sahara kisi ka na mila ab tamasha, kaun kare... - Sun

Main Rahoon Ya Na Rahoon Tum Mujhmein Kahi Baki Rehna - Emraan Hashmi and Esha Gupta - Soulful Lyrics

Image

Sumiran karle Hari naam, tere din beete jaate hai...

Kaun tumhara kutumb parivara, kiske ho tum kaun tumhara... Kiske bal Hari naam bisara, sab jeete jee ke naate hai... Sumiran karle Hari naam, tere din beete jaate hai...

Action/ 2015

Image

raat aaye to aankhon mein tere khawab chale aaye

raat aaye to aankhon mein tere khawab chale aaye hum khawabon mein tere kareeb hokar chale aaye. raat aaye to aankhon mein tere khawab chale aaye... ~*~ chod aaye apna dil tere pehlu mein teri mehak apne saath le aaye. raat aaye to aankhon mein tere khawab chale aaye... ~*~ yunh to tha mein ek pathar ki bani hue murat tumne chua to mom ho aaye. raat aaye to aankhon mein tere khawab chale aaye... ~*~ humne har baar khuda se yahi manga tha jab bhi unke kareeb hum jaye tab barsaat aaye. raat aaye to aankhon mein tere khawab chale aaye... ~*~ mujhse puche mera zameer jab nahi tha woh tera, fhir kyon uske kareeb ho aaye. raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye hum khawabon mein tere kareeb hokar chale aaye... - Sun

Naam Simran...

Naam keval ratna matra nahi hai... Naam ismaran hai, naam jeevan hai, naam anukampa hai, naam ishwar tatha aatma ka sanyog hai... naam hai naami ki aur lagna aur uski our se utar rahe ullas aur antas ki shujh tak ka gyan naam hai.... Dhyan ko drishti maan jagat se uthane ke pratham prayatna se naami ki prapti tak ke sabhi rangon ko naam kehte hai so naam japne ka vastavik artha to yeh hai ki 'Ishwar ka Naam' kaho par mann mein bhawana dharan karke...

Bade Bhagya Manav Tann Paya...

Lakh Chaurasi bhog kar aaya, Bade Bhagya manav tann paya... Us par bhi nahi kari Kamai, Ant Samay pachtaya... Pachtaya, Pachtaya fir gaya samay nahi aaya...

Na Jaane Kahan Hai Mera Aashiyana, Meri Duniya, Mera Thikana!

Na Jaane Kahan Hai Mera Aashiyana, Meri Duniya, Mera Thikana! * Na Koi Manzil, Na Koi Rasta Hai Pata, Jaana Mujhe Kahan Na Iska Pata, Koi Apna Na Koi Paraya, Bas Peeche Chodate Jaana Mujhe Kadmo ke Nishaan! * Na Jaane Kahan Hai Mera Aashiyana, Meri Duniya, Mera Thikana! ~ Koi Na Pukare Mujhe, Na Koi Roke Mujhe, Dheeme-Dheeme, Halke Halke, Chalte Jaana Hai Mujhe Wahan, Jahan Mera Aashiyana, Meri Duniya, Mera Thikhana! Hooo... Hooo... Ab Mujhe Fursat Kahan, Ab Mujhe Chain Kahan, Na Koi Dost,  Na Koi Humdum, Bas Chalte Jaana Hai Mujhe Wahan, Jahan Mera Aashiyana, Meri Duniya, Mera Thikhana! Hooo... Hooo... - Sun

Nanak Di Soch - Harshdeep Kaur (2015) Truely Meaningful Lyrics n Beautiful

Image

Shiva Parivar...

Shiva Parivar... Jahan Pati Shiva bhi pujniye... Jahan Patni Parvati bhi pujniye... saath-saath Dono Putra Kartikeya aur Ganesha bhi pujniye...  Aisa alokik, divya, adbhut, sanskari, sundar parivar hai, Shiva Parivar... parivar mein rehne wale anya sadasya - Nandi, Naag Devta, Gaaye Mata, Sher, Mor, Musak... Sab pujniye... Sab karmo ki punji hai... Tabhi to sabhi Devi-Devta mein ek hi parivar hai, jo yugon-yugon se pujniye hai... Jo bhi is parivar ka hissa banta - Riddhi, Siddhi, Subh-Labh... Devasena... sab pujniye ho jaate...

rote gaye, muskurate gaye, yuhi safar-e-zindagi betate gaye...

rote gaye, muskurate gaye yuhi safar-e-zindagi betate gaye... ~**~ kisi musafir ne pucha tumhare shayari mein itna dard kyon hai hum apni khata batate gaye tumhari bewafai chupate gaye... rote gaye, muskurate gaye yuhi safar-e-zindagi betate gaye... ~**~ kisi musafir ne pucha tumko mohabbat par aitbaar kyon nahi hum apni wasiyat batate gaye, apna intezaar chupate gaye... rote gaye, muskurate gaye yuhi safar-e-zindagi betate gaye... ~**~ kisi musafir ne pucha tumko tanhaiyaa kyon pasand hai hum apna akelapan batate gaye, tumhari mehfile chupate gaye rote gaye, muskurate gaye yuhi safar-e-zindagi betate gaye... ~**~ - Sun

Ram Naam...

Jinke ghar mein Maa nahi hai, Baba kare na pyar... Aise deen anatho ka hai, Ram naam aadhar... Mukh bol Ram ki bani, Manwa bol Ram ki bani...

Gallan Mithiyan - Mankirt Aulakh (2015) Beautiful Video

Image

Re mann yeh do din ka mela rahega

Re mann yeh do din ka mela rahega Qayam yeh jag ka jhamela rahega... Kehta hai ki... Daulat kabhi aayegi mere kaam Par yeh to bata... Dhan hua kiska kabhi gulaam Samjha gaye updesh Harishchand, Krishna, Rama Daulat nahi rehti hai... Par rehta hai sirf Naam... Rahegi re Daulat yahi ki yahi pe... Sang tere bhaiya kuch na jayega... Re mann yeh do din ka mela rahega Qayam yeh jag ka jhamela rahega...

pal-pal, har pal yeh mohabbat badati jaati hai...

har ek saans ke saath tujhse milne ki umeed badati jaati hai pal-pal, har pal yeh mohabbat badati jaati hai... ~*~ chand ko dekhata hu to tera chehara yaad aane lagata hai pal-pal, har pal tujhe dekhane ki umeed badati jaati hai... ~*~ barsat ka pani jab mere badan par padata hai tujhse lipatane ki chah badati jaati hai pal-pal, har pal yeh beqarari badati jaati hai... ~*~ ban jayun musafir teri manzil paane ke liye pal-pal, har pal yeh aarzoo badati jaati hai... - Sun

Time Table 2 - Kulvinder Billa (2015) - Punjabi Video Song

Image

RadhaSoami

Radha ka arth "Rooh ya Aatma" aur Soami ka arth hai"Malik ya Parmatma"...

Honsla - Jassi Sohal - Video Song 2015

Image

Reel to Chip - Punjabi Video Song 2015 - Jaismeen n Deep

Image

Tum Jeevit Prabhu Ka Mandir Ho...

Tum jeevit Prabhu ka mandir ho... Tumhare andar crore khand-brahmand hai... crore khushiyan hai... sukh aur shanti hai... khud, Khuda Akalpurush tumhare andar hai, manush-chole ka makshad us tak pahuchana hai... humein chahiye ki jo kuch ban sake, isi janam mein kar le...

Suna Hai...

SUNA HAI aaj kal tumko karwate aati rehti hain raat bhar tere ghar ke bagal mein koi gulbadan rehne aaya hai... ~*~ SUNA HAI aaj kal tum gumsum rehte ho har baat nazaron se kehte ho tere ghar ke bagal mein koi gulbadan rehne aaya hai... ~*~ SUNA HAI aaj kal tumko bhook bhi nahi lagti hai yaadon mein hi khoye rehte ho tere ghar ke bagal mein koi gulbadan rehne aaya hai... ~*~ SUNA HAI aaj kal khawab fhir tum sajane lage fhir dua khuda se mangane lage tere ghar ke bagal mein koi gulbadan rehne aaya hain... - Sun

Kacchare Ka Dabba..

Apne Mann ko Kacchare Ka Dabba mat banne do... Inko hamesha buri-kharab-gandi baaton se door rakho... Vyakti ko Dalmoth kya hoti hai??? Namkeen Dalmoth kya hoti hai??? uska matlab nahi pata hota... Parantu usko Chikni, Maal, Item, Tota, Kancha, Tincha Maal... In sab ka artha gyat hota hai... Isse pata chalta hai ki aapka Mann kitni buri tarah Buri/ Kharab/ Gandi Baaton se Sankramit hai... Kitni Gandi Baaton se lipta hua hai... Apne Mann ko paavan kare... Kyonki bina mann pavitra kiye hue Ishwar ki... Rab ki.. Sadguru ki... prapti asambhav hai... 

rone do naaaaaaaaaa... nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa

rone do rone do rone do naaaaaaaaaa rone do rone do rone do naaaaaaaaaa nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa rone do rone do rone do naaaaaaaaaa ~*~ kitne khawab the sab bikhar chuke hai raat thi jo mohabbat ki woh guzar chuki hai aaj jee bhar kar rone do rone do rone do rone do naaaaaaaaaa nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa rone do rone do rone do naaaaaaaaaa ~*~ tap-tap kar gire aansoo koi chehara nainon mein basta gaya udasi basti gai lamhon mein sannata basta gaya fhir naya gum paalne do naaaaaaaaa rone do rone do rone do naaaaaaaaaa nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa rone do rone do rone do naaaaaaaaaa ~*~ saanson ka lipata hua libaas hu na ab koi sunta hain na ab koi sunata hain tere khat aate the do pal baatein ho jaati thi aaj un beetein khaton ko jala laine do rone do rone do rone do naaaaaaaaaa nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa rone do rone do rone do naaaaaaaaaa - Sun

Brahm Gyan...

Brahm Gyan kitabon se nahi prapat hota...  Kitabon se kyon mattha-pacchi karte ho? Yeh sab bekaar hai...  Rab sabke andar hai, woh tere andar bhi hai, woh hi teri sambhaal bhi karega...

jab bhi baithata hu main tanha khud se rubaru hota hu...

jab bhi baithata hu main tanha khud se rubaru hota hu bas yahi baat sochata hu tum hoti to kaisa hota tum hoti to waisa hota... ~*~ meri goad mein tum soya karti baithe rehti aur baatein karti rehti... tum is baat par khush hoti tum us baat par ruth jaya karti... tum hoti to kaisa hota tum hoti to waisa hota... jab bhi baithata hu main tanha khud se rubaru hota hu bas yahi baat sochata hu tum hoti to kaisa hota tum hoti to waisa hota... ~*~ raaton mein khawab sajate teri zulfoon ke saaye mein so jaate deeware jo apne beech thi sab gira dete aaye haseen tere sulagate jism ki mehak mein kho jate... ab yeh haalat kisse kahe hum kab tak khamosh rahe aur jalate rahe hum kyon na yeh duriya hum mita de aa saare zamane ko hum bata de nahi jee sakte ek-dusare ke bina nahi jee sakte ek-dusare ke bina... jab bhi baithata hu main tanha khud se rubaru hota hu bas yahi baat sochata hu tum hoti to kaisa hota tum hoti to waisa hota... ~*~ khidki mein baithe sar jhuka kar tum mera intezaar karti chup-c...

Ve Main Sacchi-Mucchi PARI Lagdi - Shipra Goyal n Ravinder Grewal - Judge Singh LLB (2015) - Video Song

Image

Sanskaar...Shistachar...Sacchai...

Sanskaar... Shistachar... Sachchai... Miya... Aaj jo hum in Kuwoan ka pani pee rahe hai, yeh hamare purkhon ne khodein hai... - ⛅

Chalta jaye samay ka ghoda...

Satsang mein gota laga le Jeevan ko safal bana le Samay nikal thoda-thoda Chalta jaye samay ka ghoda... Chalta jaye samay ka ghoda... Is jeevan se padega bhaiya sabko ek-din jaana Kaudi-Kaudi jamaa kiya sab chhodkar maal khazana Yahan koi na rahega Mata-Pita se rishta jodhke Yahan koi na rahega Dunia-daari se rishta jodhke... Samay nikal thoda-thoda Chalta jaye samay ka ghoda... Chalta jaye samay ka ghoda... Chhod Lobh-Jhoot-Kapat, Chugali-Krodh-Ahankaar Sabko ek-samaan samajh, Kar sewa ka karya... Yahan koi na rahega Kothi-Mehalo se naata jodhke Yahan koi na rahega Jaat-Biradari se naata jodhke Samay nikal thoda-thoda Chalta jaye samay ka ghoda... Chalta jaye samay ka ghoda... - Sunny

Jo Mere Bhagya Mein Nahi Hai, Woh Duniya Ki Koi Bhi Shakti Mujhe Nahi De Sakti Aur Jo Mere Bhagya Mein Hai Use Duniya Ki Koi Bhi Shakti Cheen Nahi Sakti. Ishwariye Shakti Asambhav Ko Sambhav Bana Sakti Hai. Aata Karma Hi "Kamdhenu" evam Prathana hi "Parasmani" hai...

Image

एहसास

यह अलग बात है इसका एहसास उसके जैसा है मगर हू-बा-हू यह कहाँ मेरे महबूब जैसा है... - सन

Mistakes...

Image

Happy Birthday Mehar...

Image

Happy Diwali...

Image

Mera Mehboob sirf mujhsa ho...

Na Pari... Na Hur ho...  Mera Mehboob sirf mujhsa ho... Shabdon mein Guru Di Bani...  Chehare pe fakiron sa noor ho...  Mera Mehboob sirf mujhsa ho... Muskaan bikhere jo...  Kitabon ka saccha dost ho...  Mera Mehboob jo mujhsa ho... - Sun

Naam ki daulat...

Duniya ko chhodkar naam ki oar lagana bada kathin hai. Bina bhagya ke yeh daulat nahi milti. Log vishay-vikaron ki oar se mooh modane ko taiyar nahi hai... Inka bhagya inko saccha ànand nahi lene deta...

Nimantaran-Patra

Manush apni vipattiyon ko nimantaran deta hai aur fir in dukhdai aatîthiyon ke prati virod prakat karta hai, kyunki woh bhool jata hai ki usne kaise, kab aur kahan unhein nimantaran-patra likhe aur bheje the... Parantu samay nahi bhoolta, samay uchit avsar par har nimantaran-patra theek pate par de deta hai, aur samay hi har atithi ko mejbaan ke ghar pahuchata hai... - Meerdaad...

ishq mein haasil aur kya hoga

ishq mein haasil aur kya hoga bas aansoo main dubaa hua ek samundar hoga... *** subah jo jal uthati hai uski yaadon mein shaam ko bhi yahi manzar hoga... *** saari dunia ke samne jo sher bane fhirte ho usse pyar ka izhaar karna muskil hoga... *** jo lagate hai sabse apne karib unhi apno ke saath fhasala hoga... - Sun

Mann ka simit hona...

Garib ki jhopadi mein haathi nahi samata...  Mann-Mandir ko bada karo...  Mann se Maalik ka naam japo...

Nàam Ka Sumiran...

Mann Khudayam, Mann Khudayam, Mann Khuda... Ki Main Khuda hun, Main Khuda hun, Main Khuda hun... Maalik ke naam ka sumiran karoge to Maalik mein samaa jaoge, Maalik ka roop ho jaoge...

Sahib Ka Darbaar...

Sahib ke darbaar mein keval bhakti piyaar... Keval bhakti piyaar Sahib bhakti mein raaji... - Paltu Sahib...

Haq-Halal ki Kamai...

Haq-Halal ki kamai mein barkat hoti hai.

Sahib Da Pyar...

Chahe lok ho ya parlok, hey mere pritam! Mujhe keval tera pyar chahiye...  Pariyon ki jhooti dastano se mujhe kya lena...  Tera pyar saath hai to mere liye jannat aur dohzak dono samaan hai... Khawaja Haafiz...

Rab Ki Razaa...

Na kachu kiya na kari sakaa, na karne jog sharir, Jo kuchu kiya Sahib kiya, ta tein bhaya Kabir...

Kitna waqt badal gaya hai....

Jab Maa kehti thi... Aaj Diwali hai Bhalu... Ja Gali ke nukkad wale mandir par ek diya jala aa... Sunate hi Maa ki baat... Pairon ko maano pankh lag jaate the, Hum haath mein mitti ka diya, bati, tel, matches pakade bas bhaage chale jaate the... Andheron ko cherate hue, Andhera door karne.... Bas bhage chale jaate the... Chehare par ek jeet ki muskaan hoti thi... Bhagwan ke ghar ko jo hum prakash se sajate the... Par aaj kal hum khud andheron mein ghire rehte hai... Prakash ki aarzoo hi nahi hai... Kitna waqt badal gaya hai.... - Sunny

Yeh soch kar dil ko behla laite hai hum

Yeh soch kar dil ko behla laite hai hum Woh toh ajnabi tha raah mein kahin bichad gaya hoga... *** Yeh soch kar dil ko behla laite hai hum Raah mein jo bichada tha Us anjabi ka haath kisi ne thaam liya hoga... *** Yeh soch kar dil ko behla laite hai hum Jab uska dil koi toodata hoga Tab usko mere toote dil ka khayal aata hoga... *** Yeh soch kar dil ko behla laite hai hum Jab usko yaadon ke badal ne ghera hoga Tab woh meri yaadon mein bhi bheeg gaya hoga... *** Yeh soch kar dil ko behla laite hai hum  Jiski raatein roshan thi humse Uski raatein koiye aur roshan kar raha hoga... - Sun

Kamal par viraajmaan

Kamal par viraajmaan Woh Laxmi Maa bahut sundar hai Main us Saraswati rupe Laxmi Maa ko baar-baar naman karunga.... *** Main us Laxmi ko paane ke liye keechad mein nahi jayunga Main us Saraswati rupe Laxmi par bharosa rakhunga Main us din ka intezaar karunga Jab woh Saraswati rupe Laxmi Maa khud us keechad se nikalkar chalkar mere ghar aayegi.   *** Main us Deepawali ka intezaar karunga... - Sun Keechad : Bhastachar, Lobh, Laalach, Chori, Jhoot-Kapat...

zindagi ko kuch is tarah sajana padata hain

zindagi ko kuch is tarah sajana padata hai dil mein gum ho, hoonton ko muskurana padata hai... *** aarzoo to rehti hai hamesha yaar ko dekhane ki yaar dekh jaye to nazaron ko jhukana padata hai... *** chahe jitni bhi ho jaye dushman dunia chirag ko andhiyon mein bhi jalana padata hai... *** Kyon dil par laite ho logon ki baat mohabbat mein to khud ko pagal bhi kehlana padata hai... - Sun

Fakeer...

Fakeer woh hota hai, jisko sukh-dukh ka ehsaas na ho... Jise na swarg ka lobh na narak ka darr ho... Jo sirf apne pritam-pyare ki naam ki kamai mein laga rehta ho...

Naam ki Kamai...

Baba Ji ne pucha ki 'Jaap Sahib' mein 'Guru Gobind Singh Ji' ne Maalik ke kitne naam rakhe hai? Sangat ne kahan 'Ji gine to nahi lekin khayal hai, koi barah-chaudah sau honge'... Tab Baba Ji ne bola "agar ek sacche mitra-saathi ne Waheguru Ji ka ek aur naam "NaaZ" rakh diya to kya zulm ho gaya?" "agar ek paagal-premi ne Waheguru Ji ko "GuNn" naam se bola liya to kaun sa gunah ho gaya?" Mukti naam mein hai... Bina naam ki kamai kiye aantarik gyan nahi ho sakta aur bina aantarik gyan ya anubhav ke mukti nahi... So matlab to yeh hai ki Naam ki Kamai karta ja... Naam ki Kamai vyaratha nahi jaati...

Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA

duniya se ruksat hone ke baad bhi uski aarzoo hai dil mein mohabbat ki kaise justajuu hai... *** Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA jubaan ko ab bhi uski baatein karne ki guftaguu hai... _______________________ NA DO JAWAAB, NA SAHI...  DEKHATE HAIN INTEZAAR KAB TAK... KAB TAK... *** NA BATAO SACHCHAI, NA SAHI... DEKHATE HAIN TUMHARI RUSWAI KAB TAK... KAB TAK... ***  PATHAR, RABB NAHI, NA SAHI... DEKHATE HAIN PHEGALEGA DIL TUMHARA KAB TAK... KAB TAK... ________________________  Uske saath ab koiye rishta nahi hai  Fhir bhi dil ko chain-o-sukoon nahi hai... * Meri tanhai ki wajah main khud hu Uspar koi ilzaam nahi hai... * Bas itna mujhe bata do WOH IS DUNIYA SE RUKSAT KAISE HUI mera koi TUMSE dusara sawaal nahi hai... * Itna bhi kya kisi ka intezaar karna Marne ke baad wapas koi aata nahi hai. ..  __________________________  Jo khud badal jaye  unko har shaks badale hue nazar aate hai... dusaroon ki khata ginane wale tere pehlu main bhi bahut ...

Naam Ki Mahima...

Naam ki mahima aapar hai... Jis tarah aag ki ek chingari crore-man lakdiyon ko jala deti hai, usi tarah naam ki kamai se karmo ka hisab khatam ho jata hai...

Karm...

Hum jo-jo karm karte hai, humein khud hi bhughatane padte hain, inse koi bachao nahi... So karmo ka hisab chukaye bina chhutkara nahi hota...

tamam umar mujhko uska intezaar to raha

tamam umar mujhko uska intezaar to raha jeene ke liye dil mein hausala to raha... *** na laut kar aaya woh is baat ka dil mein koi gum nahi kam se kam main, waqt ka gulam to raha... *** yeh alag baat hain uske tan-mann mein kisi gair ka haq hain fir bhi uske dil ke kisi kone mein mera naam to raha... *** bahut haseen baat hain yeh zinda nahi, marne ke baad hi sahi uska mera koiye rishta to raha... - Sun

Karm...

Karmo ka kanoon atal hai... Koi bhi isse bach nahin sakta, avtar purush bhi nahi... So karmon ka hisab chukaye bina chhutkara nahi hota...

Masjid mein dekh kar tujhe hairat bahut hui

Masjid mein dekh kar tujhe hairat bahut hui romil kiski khushiyon ke liye tune fir haath fehlaya ~ yeh duaoon ka silsila kyon kar raha hai tu chalu kaun hain woh anjani jo fir yaad aaya ~ aankhon mein aansoo kiske liye hai kiski bandagi ka fir khayal aaya ~ shaam hote hi kyon khol deta hain darwaaze woh kaun hain jiska yeh chand salaam lekar aaya... - Sun

Karm...

Yeh Kutumbh, Parivar, Rishtedaar Karmo ke anusar ekhatte hote hai.... Jyon-Jyon karmo ka hisab khatam hota jata hai, tyon-tyon Sambandh toote jaate hain aur hum sab bichadate jaate hai...

Diwali manate hai...

Chalo kisi garib ka aashiyana sajate hai... Kisi masoom ke honthon par kamal khilaate hai... Diwali manate hai... Nahi shikhayat humein hukumat se "kyon itni mehangi ho gai hai Shakkar" Chalo kuch Namkeen khate hai... Diwali manate hai... Gar kisi ko shikwa hai... shikayat hai Patako ke shauk se... Chalo milkar deepak jalate hai... Diwali Manate Hai... Jo rasta chuna, ta-umar uspar hi chalte rahe... Mohabbat ki hai, mohabbat nibhate hai... Diwali Manate Hai...  - Sun

Chand...

Ishq-e-raaz ko har ek se chhupaye hue... Chand...  na jaane kahan dubak gaya hai nazarein churaye hue... Socha tha... Aaj usko sunayenge tarana-e-mohabbat Arsa ho gaya hai uski baahon mein samaye hue... - Sun