Posts

Showing posts from October, 2015

Timepass... Moti...

Radha Soami Ji... Aaj humne karib se chand ko baar-2 dekha hai... Internet ka bhi khub kamaal dekha hai... Mooti ne pehan rakhi hai Lehanga-Choli... Darji ne bhi khoob fitting ka khayal rakha hai... Tumse hi ladai-jhagda... tumhare liye hi karwachaut vrat... Logon ne isi ka naam to patni rakha hai... hahaha -Sun

Mumkin Hai...

Mumkin Hai... Yeh fasle mit jaye... Jo dooriyan ho gai hai dono ke darmiya, woh khatam ho jaye... Fir se bas jaye mohabbat ka ghar... Fir se yeh udas chehare khil jaye... Do apni galtiyan tum mano... Do apni galtiyan main manta hun... Aapas ke masle hai... Apne Ghar ke masle hai... Ghar mein baith kar coffee peetè-peete suljha le... Inhein beech-bazar na uchala jaye... Mumkin Hai... -Sun Jhil-Mil sitaron ka ghar hoga, Usmein re Maiya Ji ka mandir hoga, Kaisa sundar apna jeevan hoga... Main honga... Tum hongi... aur Maiya Ji ka Bhajan-Kirtan hoga... Jhil-Mil Sitaron ka ghar hoga... -  Sun

Mere Saiyaan - Shareek (2015) True and Heart Touching Lyrics

Image

main is umeed se...

main is umeed se karta rehta hu uska intezaar, uska mizaj-e-rukh kab badal jaye aitbaar nahi... thodi moody jo hai na... - Sun

jao kuch pal aaram karo...

jao kuch pal aaram karo... mann ko aur na pareshan karo... shaam ko do pal baitho Rab ki... Guru ki... panah mein aur unse ek sawaal karo... "MUJHSE SACH BULWA DO... WAHEGURU JI"  "MUJHE SACH BOLNE KI HIMMAT DO... RAB JI" - Sun

Maa Vaishno Devi Yatra

Image

Maa Vaishno Devi Yatra

Image

Maa Vaishno Devi Yatra

Image

Maa Vaishno Devi Yatra

Image

Maa Vaishno Devi Yatra

Image

Maa Vaishnoo Devi Yatra

Image

Navratri Pandal...

Navratri Pandal.... Mujhe Bengali Samaaj ke navrati pandal mein jaane ka bahut mann karta hai... Woh Bengali Samajh dwara Durga Maa ka aawaahan karte hue aawaz nikalna... woh Durga Maiya ki bade-bade deep liye hue Bhavya aarti... Aur khaskar woh Dhol walon ka Dhol baja-baja kar ghumate hue nritya... Woh josh... ullash... shor... dekhane aur sunne wala hota hai... aur maa ki bhakti... khaskar woh maa ki aankhon mein kho jaane wala hota hai... Main bhi waise hi nritya karte hue dhol bajana seekhana chahata hun...

Ab Likhane Aur Kehne Ko Bacha Hi Kya Hai?

Sab Kuch To Tumse Keh Daala, Ab Likhane Aur Kehne Ko Bacha Hi Kya Hai? Har Sapne, Har Ehsaas Ki Kahani To Tumse Keh Daali, Ab Likhane Aur Kehne Ko Bacha Hi Kya Hai? Kaagaz Par Lafzon Se Sazaa Dala Tha Maine Apni Mohabbat Ka TajMahal, Ab Woh Kaagaz Hi Aankhon Ke Aansoo Se Beh Gaye, Ab Likhane Aur Kehne Ko Bacha Hi Kya Hai? Chale The Mohabbat Ke Safar Mein Hum Saath, Magar Apne Rashte, Apni Manzil Badal Gai, Ab Likhane Aur Kehne Ko Baacha Hi Kya Hai? Ab Likhane Aur Kehne Ko Baacha Hi Kya Hai? - Sun

Pyaar Ka Punchnama 2 Speech by Rajat - Awesome 7 minute speech - Problem yeh hai ki woh ladki hai...

Image
Saala samajh mein nahi aata problem kya hai?  Problem?  problem yeh hai ki woh ladki hai  Sone se pehle baat karni hai, uthne ke baad baat karni hai  Bhai din poora nahi padhta kya, ki aadmi sone se pehle 2 minute chain se late bhi nahi skta kya?  Aur kya hai yeh ‘talk me to sleep’?  Aur chalo inhe sulane ke liye main woh bhi karne ko raazi ho jaaun,  Lekin sote sote raat raat mein aisi kaunsi bayanak ghatna ghat jati hai, ki uthne ke saath hi inhe phir se baat karni hai?  Aur yeh sab bardasht karne ke baad inka sabse bada chu**pa yeh hai, ki inhe s*x ke baad bhi baat karni hai! 

kya jeevan hai...

kya jeevan hai... kabhi hasana, kabhi rona hai, do aankhon mein jeevan ka pitara hai kya jeevan hai... insaan bana khilauna hai, aana aur jaana hai kya jeevan hai... saanson ko pana, saanson ko khona hai kya jeevan hai... mutthi band karke sansar mein aana hai, mutthi kholkar sansar se jaana hai kya jeevan hai... chadar mein bun kar sukh aur dukh ka taana door kahin jaana hai kya jeevan hai... - Sun

Timepass...

Chehare pe marne ka shauq nahi humein... Sar jhukakar ibadat ka hunar aata hai humein... 10 saalon ka intezaar... na kabhi hue rubaru, na hua izhaar... Jaane rab kaisa hai yeh pyar... Lauta sako to mere woh 10 saal lauta dena... meri maa... mere sapno ki udaan lauta dena... 33 saal ki zindagi ho gai abhi tak "GuNnRaj" ghar nahi bana paya... na "Naaz" School, na "Sushma" mandir, na "Sultan Bhojan Greh" banwa paya... Agar ho sake to mera swabhimaan mujhe lauta dena... Tasveer ka teri kya karunga... Agar ho sake to mera mehboob, uska naam mujhe lauta dena...

Ik Choti Jehi Benti - Gurdas Mann

Image

Better Tomorrow

Image

khushboo ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai

khushboo ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai teri tasveer pe mar-mit jaane ko jee chahta hai... kabhi aa jaye jo woh meri baahon mein to thakaan jaag pade uske badan se lipat jaane ko jee chahta hai... aur kabhi tha main wahi jo teri tasveer... teri deed... ka pyasa tha aaj dekhkar bhi usko bhool jaane ko jee chahta hai... waqt bita aur bitata chala gaya tune na tasveer bheji... na milna chaha... main fir bhi apne kiye hue vaadon pe zinda raha... ab un vaadon se bhi mukar jaane ko jee chahta hai... - Sun

Better Tomorrow

Image

Better Tomorrow

Image

kaise kahu ki zindagi kya hain

kaise kahu ki zindagi kya hain behati hue naadi ki tarah hain puche maajhi se tera pata kya hain aaya tu kahan se  jaana tujhe kahan hain kaise kahu ki zindagi kya hain... kaise kahu ki zindagi kya hain behati hue haawan ki tarah hain puche toote hue patte se tera theekana kahan hain aaya tu kahan se  jaana tujhe kahan hain kaise kahu ki zindagi kya hain... kaise kahu ki zindagi kya hain ek anjaan raasta hain  puche musafir se tera pata kya hain aaya tu kahan se  jaana tujhe kahan hain kaise kahu ki zindagi kya hain... - Sun

For Change... For Life...

Image

For Change. For Life.

Image

Ghar

Ghar Main Chahta Hoon, Ek Ghar Banana, Jise Apne Sapno Se Sajana... Sirf Char Deewari Na Ho Mera Ghar, Usme Ho Hamari Mohabbat Ki Chhat... Haawon Se Khule Woh Kamre Ki Khidaki Nirali, Baahar Se Aati Ho Chidiyoon Ki Aawaz Sureeli... Baahar Baaghechi Mein Phool Muskurate Ho, Bhaaware aur Titaliya Jis Par Mandarate Ho, Woh Sukun, Woh Chain, Main Us Ghar Mein Chahta Hoon, Main Ek Ghar Banana Chahta Hoon, Jise Apne Sapno Se Sajana... Maire Mehboob Ke Kadamo Ki Chhap Mein Payal Ki Aawaz Ghuli Ho, Haaton Mein Mehandi aur Mohabbat Ke Mahool Mein Chudiyon Ki Jhankaar Ghuli Ho... Rabb Ka Jisme Paigam Rehta Ho, Main Ek Ghar Banana Chahta Hoon, Jisse Apne Sapno Se Sajana... Janta Hoon, Khawab Mere Hasiyat Se Bade Hai, Magar Main Khawabo Ko Sach Karna Chahta Hoon, Main Ek Ghar Banana Chahta Hoon, Jise Apne Sapno Se Sajana... - Sun

Action/ 2015

Image

Action/ 2015

Image

Action/ 2015

Image

chal zindagi tujhe aaj apne saath le chale, zamana hua tujhe muskuraye hue...

chal zindagi tujhe aaj apne saath le chale zamana hua tujhe muskuraye hue... bahut aansoon ke rang mein tujhe nehla chuke zamana hua tujhe muskuraye hue... ~*~ chehare-e-afsoos ke sikano ko durr karte hai thoda sa phool-e-khushaboo barsatee hai aankhon ko aaram farmate hai zindagi aaj thoda sa muskurate hai... ~*~ bhool kar sab beeti hui baatein bewafa ristoon-naaton ki mulaqate ajnabiyoon se rishta banate hai zindagi aaj thoda sa muskurate hai.... ~*~ Jeete hain aaj khud ke liye khud ke liye nachate-gaate hai barsaat mein aaj thoda sa bheeg jaate hai zindagi aaj thoda sa muskurate hai... - Sun

Tension nahi laini saliyein aaja bhangra paa liyee - Sadi Love Story

Image

RIGHTS NOW...

Image

STOP AT NOTHING...

Image