Posts

Showing posts from October, 2016

दीपावली की शुभकामनाएँ !

दीपावली की शुभकामनाएँ ! माँ, पिता  और  नाज़ व गुन को !

Timepass: 5-5 Rooms ke Safai Suggestion

Suggestions... Acchi tarah se 05 rooms ki safai karna...  Floor ko ek dum chamka dena, jaise apna chehara chamkati ho...  Toilet bhi theek se clean hona chahiye...  ek dum tumhari teeth ki tarah... aur Door, Window bhi ek-dum Cham-Chama jaana chahiye... Ek dum tmhare husn ki tarah... Bed, Sofa se dhool haata dena...jaise apne baalon mein se safed baal haata deti ho... Almirah ko neat and clean karna... jaise apni lips karti ho... Sab faltu cheezon ko Kabadi wale ko baich dena... Jaise tumhara dimaag.... Theek se kaam karna... okay... hehehe

P.O.W. - Bandi Yuddh Ke: Rab Ki Baatein Video

Image

Bas aise hi...

waqt bas beeta aur beetata hi chala gaya... hum khade palon ka hisaab hi karte reh gaye... - sun

Jis tasveer ko main pehchanta nahi... Uske baare mein baat kya karna...

Jis tasveer ko main pehchanta nahi... Uske baare mein baat kya karna... Saree aachi hai... Surat bhi aachi hai... Par jo Rooh mein na bhaaye uske baare mein baat kya karna... Uski khudki tasveer ka intezaar rahega... Fir baat karenge... Fir shararat karenge... Fir uski tarif karenge... Fir usko satayenge... Abhi baat kya karna...  - Sun

Sawariya tujhe kisne sajaya hai... Sundar se sundar Gajara pehnaya hai...

Sawariya tujhe kisne sajaya hai... Sundar se sundar Gajara pehnaya hai... Kitna pyara hai Singhar ki teri le lu nazar utaar...  O kitna pyara hai... O ho... Kitna pyar hai Singhar ki teri le lu nazar utaar...  

Hey Sita...

Hey Sita... Kaise karogi Raavan ka samna... Tumhare pass na to Rama hai... Laxman bhi nahi hai... Hanuman bhi nahi hai... Durga banna hoga... Kaali banna hoga... Rakht bahana padega... Rakht peena padega... - Sun

Missing in My Life: Bhune hue Aloo... Aam ka Galka... Samosa wid Imli ki Chatni... Arhar ki Dal Khadi Khatai ke saath... Aloo Baddhi..

Missing in My Life: Bhune hue Aloo... Woh Angheti mein Koyla ki Aag mein halke-halke Aloo ko bhunna... aur fir garma-garm nikal kar, cheelkar usko namak-mirch ke saath khana...  Aam ka Galka... Bas khate jayo... kitni taste lagta hai... Aam ki Chatani ki tarah...  Samosa wid Imli ki Chatni... Jo baat Imli ki Chatni mein hai woh Sauce mein nahi... Readymade Imli ki Chalti nahi woh to chulhe pe ubal kar pakai jaati hai... Arhar ki Dal Khadi Khatai ke saath... Khadi Khatai se hi Dal ka swad badal jaata hai, fir usko Chawal ke saath khana....  Aloo Baddhi... Agar Mirchi wali Badiyan ho to maza aa jata hai Aloo Badhi ki Sabji mein... Missing hai yeh sab meri Life mein... Woh Swad... Woh Jayka... Woh Pyar... aur Woh Bhookh... Sab kuch missing hai... Zindagi Continental ho gai hai...

kuch to badla...

Miya... kuch to badla... Apni Taqdeer nahi Uski Tasveer hi sahi... - Sun

Kuch Sach - Khubsurat hai par kisi aur ki hai...

Khubsurat hai par kisi aur ki hai... Bibi ke saath-saath Ik Bacche ki Maa bhi hai... Uske gajare... Uske ghesu ke saath raatbhar khelna chahata hun... Par woh Amanat kisi aur ki hai... Na Ghar... Na Tijori... Na hi Qabiliyat... Woh Laxmi... Woh Saraswati kisi aur ki hai... - Sun

Chand ko Chand ki tarah dekha jaye...

Chand ko Chand ki tarah dekha jaye... Besumar, Behisab dekha jaye... Teri tasveer ko rakhkar apne takiye ke neeche, jo baatein tujhse nazarein milake keh nahi sakte... Woh baatein ki jaye... Kabhi kaho tum bhi mujhse apne dil ki baatein... Maut se pehle zindagi ko zindagi ki tarah jiya jaye... - Sun

Chalo purani tasveeron se dhool ko hatate hai...

Chalo purani tasveeron se dhool ko hatate hai... Yaadon ki kasti mein bethkar chalo mohabbat ke safar par jaate hai... Khidki ke pas khade hokar Chai ki chuski ke saath baatein karna... Dheere-Dheere chalo hum-tum kuch Gungunate hai... Mere seene pe rakh kar Sar raat bhar tumhara kitab ka padhna... Chalo raat bhar Bulb ki tarah timtimate hai... Bade pyar se raat mein 02 baje bistar se tumhein uthakar Kitchen mein le jaana... Chalo saath mein milkar Aate ka Halwa banate hai.. - Sun

Timepass: Saree to Sunny Leone bhi pehanti hai...

Saree to Sunny Leone bhi pehanti hai... Saree koi Character Certificate nahi hai Raj Babu...

Baat Seedhi Hai

Baat Seedhi Hai Mujhe Ghumani Nahi Aati... Mujhe Tumse Mohabbat Thi, Hai aur Rahegi... - Sun

Mujhe tumse shikayat bahut hai...

Mujhe tumse shikayat bahut hai... tumhare bina tanha raatein kaati bahut hai... Suna hai, log kehne lage hai tumhein Roshni ki Devi mere dil mein bhi aakar Ik Diya jala do... yahan andhera bahut hai... Tumne jo banaya tha mere liye Aam ka Galka Suno... woh khatta bahut hai...  hehehe Sach uske hooton mein daba pada hai... woh bolna chahati hai... mooh kholna chahati hai... magar tumhein khone ka darr bahut hai... - Sun

kitni raaton ka jaga hua hai...

kitni raaton ka jaga hua hai, yeh woh bhaura hai jo phoolon ka sataya hua hai... tumhein yeh jaankar hairat hogi... yeh jo mujhpar ishq ka sitam hua hai yeh kisi aur ka nahi tumhare hi husn ka dhaaya hua hai... - sun

Ishq to bachpan mein hi kiya jata hai...

Miya... Ishq to bachpan mein hi kiya jata hai... Jawani mein to jism thande kiye jaate hai..  aur Budape mein sahare banaye jaate hai... - Sun

Detailed Predictions based on planetary periods (DHASA)

Detailed Predictions based on planetary periods (DHASA) FROM 5/10/2016 TO 29/8/2017 DASA OF RAHU APAHARA OF SUN यह समय आपके पिता या परिवार के उन लोगों के लिये भारी है जिन्हे आप पिता जैसा सम्मान देते हैं। आप को उच्च व द्याक्तिद्गााली स्थान प्राप्त होगा। आपको सरकारी या उच्च स्तर से आर्थिक लाभ या पहचान मिल सकती है। आपको यात्रा में आंख की वजह से परेद्गाानी हो सकती है। FROM 29/8/2017 TO 29/2/2019 DASA OF RAHU APAHARA OF MOON यह समय आपकी माता या परिवार के उन लोगों के लिये भारी है जिन्हे आप मां जैसा सम्मान देते हैं। आपकी अत्याधिक चिंता करने की आदत बहुत सी परेद्गाानियां खड ी कर सकती हैं। आपको व्यापारी गतिविधियों से आर्थिक लाभ मिलेगा। FROM 29/2/2019 TO 17/3/2020 DASA OF RAHU APAHARA OF MARS आपने भूतकाल में जो कुछ भी खोया है वो वापिस मिल जायेगा। आपकी आर्थिक स्थिति में सुधार होगा परन्तु दुर्घटनाओं व दिल की बिमारी होने का खतरा है। आपको चोरों और हथियारों से सावधान रहना चाहिये। FROM 17/3/2002 TO 17/3/2020 RAHU DHASA ...............FROM 17/3/2002 TO 29/11/2004RAHU MAIN DHASA RAHU SUB DHASA .............

Yeh Gum-E-Hussain hai

Yeh Gum-E-Hussain hai aansoo ke saath lahu bhi behna chahiye uska qalma na padha ho tumne fir bhi har rooh se aah to nikalni chahiye... - Sultan

kambhakht khayal mein hi aakar chhed jaata hai

kambhakht khayal mein hi aakar chhed jaata hai jo samne aaye to daud kar pakad na layun... maana ki pinjare mein qaid hun maana ki pinjare mein qaid hun jo pinjara kholde to baahon mein jakad na layun...   - ⛅

Timepass: RaJ uncle se darr lagta bahut hai...

Mummy tumhari bholi bahut hai... RaJ uncle se darr lagta bahut hai... Doggy ko kholke bahar Ghar ke Gate pe hi rakhana... Mujhe time lagega ghar aane mein yahan office mein kaam bahut hai... Chhat pe jo tehle Mummy tumhari to tum bhi saath hi rehna... Internet se bhi Mummy ko door hi rakhana... Mobile phone se darr lagta bahut hai... Tumhari Mummy bholi bahut hai... RaJ uncle se darr lagta bahut hai... hehehe

Missing in My Life: Bharma Baigan, Karela, Tindhe, Parval...

Delicious... Bharma Baigan, Karela, Tindhe aur Parval... Janta hu Stone ki wajah se Baigan nahi khana chahiye par Tomato to roz kha raha hu... fir Baigan se kaisa farheg... Sach mein jo maaza Bharma Sabji mein hai woh swad kaat-peet ke banai hui kisi sabji mein... Bas sabse jyada jaruri Masale hai aur saath-saath Masale ki quality... Gar masale swadist hai aur unko sahi se tala gaya hai to uska swad bemisal hai... Missing hai life mein woh Jayka, woh Swad, woh Khush, woh Khana... woh Good Food...

Missing in My Life: Aloo Chaat

Missing in My Life: Aloo Chaat... Purane samay mein hamare lucknow mein kehte the ki Aloo sabjiyon mein sabse akhiri pasand hoti thi... isko jaldi pasand nahi kiya jaata tha... Par aaj ke samay Aloo jyadatar ghar mein pehli pasand hai... Aloo Chaat... Ubale hue aloo ko gol-gol kaatkar usmein nimboo, namak aur chaat masala daal kar khana... wah kya sawadisht hota tha... Aloo Chaat... Ubale hue aloo ko bareek-bareek kaatkar usmein hare pudina ki chatani, masale daal kar kahana... lajawab... Aloo Chaat...  Ubale hue aloo ko bareek-bareek kaatkar usmein khatti-meethi chatani, masale daal kar kahana... jabardast...    Aloo Chaat... Thode Bade size mein kaatkar m asale wale u bale hue aloo ko khatti-meethi chatani, aur khade masale daal kar kahana... fhir jab mirchi lagati ho... su-su-karna... kya jyaka, kya swad hota hai... Aloo Chaat...  Ubale hue aloo ko normal size mein kaatkar usmein tomoto ketchup, masale daal kar, usko roti mein daal kar roll karke khana... swadist....

Meri qalam mein kadwahat badi hai, Kya kahu sach likhati badi hai...

Meri qalam mein kadwahat badi hai, Kya kahu sach likhati badi hai... Uske mooh mein lage pade hai taale, Kya kahu woh zamane se darti badi hai... Kai baar chaha hai usne ghar ki dehleez langhana, Par woh majbooriyon se jakadi padi hai... Na kisi TV mein, na akhbaar mein hua hai charcha, Lagta hai yeh chori bahut badi hai... Neta Ji ki sabha mein fir loot gai khatiya Kya kare apne desh mein mehangai badi hai... - Sun

Timepass: Mukka Pyar Ka

Sun - RaJ yeh aapka daant kaise tooth gaya? RaJ (Reply) - Tumhare internet expenses ka cheque Madam Ji se lene gaya tha... To usne Mukka maar diya... Boli... "Thapki Pyar Ki" ho sakti hai... To "Mukka Pyar Ka" nahi ho sakta kya?  hehehehe RaJ - Television diwani hai Madam Ji...

Tulsi, Panchi Ke Piye, Ghate Na Sarita Neer Daan Diye Dhan Na Ghate, Jo Sahaye Raghuveer!

Tulsi, Panchi Ke Piye, Ghate Na Sarita Neer Daan Diye Dhan Na Ghate, Jo Sahaye Raghuveer!

Haath mein Lota, Mooh mein Pan, Leke Rahenge Pakistan!

Haath mein Lota, Mooh mein Pan, Leke Rahenge Pakistan!