Pyar to bahut hain tujhse par kabhi kisi se na kahenge...
Pyar to bahut hain tujhse par kabhi kisi se na kahenge Tu rahe kisi ki bhi kabhi shikwa na karenge... *** Apne armaan sabhi apne mann mein hi rakhenge Tujhe door se dekhenge kabhi tere pass aaya na karenge... *** Chand, taaron se puch liya karenge haal tera Khuda se teri khushiyon ke liye dua kiya karenge... *** Jo itefaaq se mil gaye kahi par hum Nazre tujhse chura liya karenge... *** Jal jayenge hum teri yaadon ki aag mein kabhi tujhse gila na karenge... *** Pyar to bahut hain tujhse par kabhi kisi se na kahenge... - Sun