Posts

Showing posts from September, 2012

Yeh sawaal meri soch par haavi hota ja raha hai

Yeh sawaal meri soch par haavi hota ja raha hai Ki woh mujhse itna chupta kyon hai? Gar hai use mujhse mohabbat Fir kehne se darta kyon hai? - Romil Lucknawi. यह सवाल मेरी सोच पर हावी होता जा रहा है की वोह मुझसे इतना छुपता क्यों है? गर है उसे मुझसे मोहब्बत फिर कहने से डरता क्यों है? - रोमिल लखनवी.

Beete meri umar tujhe pyar karte hue...

Kaajal banke teri aankhon mein sama jaun Banke Kangan tere haaton se lipat jaun Sunhera geet bankar saju main tere honton pe Koi mohabbat-e-saaj chhede to main tere dil mein utar jaun... Beete meri umar tujhe pyar karte hue Tere naam se shuru houu tere naam par khatam ho jayun... Teri gesuoon mein saju mein gulab banke Kabhi banke tera khadim main tere samne sar jhukau Maathe par saju main sitara banke Payal banke tere pairon se lipat jayun... Beete meri umar tujhe pyar karte hue Tere naam pe shuru hoou tere naam par khatam ho jayun... Banke be-mausam barsaat tujpar baras jayun Sabki juban pe hum-tum saath-saath aaye Yeh aarzoo hai meri, Main tera saaya ban jayun... Beete meri umar tujhe pyar karte hue Tere naam se shuru hoou tere naam par khatam ho jayun... - Romil Lucknàwi... काजल बनके तेरी आँखों में समां जाऊं बनके कंगन तेरे हाथों से लिपट  जाऊं सुनहेरा गीत बनकर सजू मैं तेरे होंठों पे कोई मोहब्बत-ए-साज...

Zamane ke saath unke tevar badal gaye...

Zamane ke saath unke bhi tevar badal gaye Woh meri soch se bhi jyada badal gaye. Mohabbat-E-Safar mein saath humko chalna tha Kya kare majboori mein rastee badal gaye. Hazar baar dil ko samjhaya uski mehfil mein na ja Aalam-E-Madhoshi mein na jaane yeh qadam kidhar-kidhar badal gaye. Aisa toofan aaya Saagar-E-Dil mein Dekhate-Dekhate dil ke kitne manzar badal gaye. - Romil Lucknawi. ज़माने के साथ उनके भी तेवर बदल गए वोह मेरी सोच से भी ज्यादा बदल गए. मोहब्बत-ए-सफ़र में साथ हमको चलना था क्या करे मजबूरी में रास्ते बदल गए. हज़ार बार दिल को समझाया उसकी महफ़िल में न जा आलम-ए-मदहोशी में न जाने यह क़दम किधर-किधर बदल गए. ऐसा तूफ़ान आया सागर-ए-दिल में देखते-देखते दिल के कितने मंज़र बदल गए. - रोमिल लखनवी.

Rastoon mein ulajah ke reh jaoge...

Rastoon mein ulajah ke reh jayoge Jo shakh karoge to bichad ke reh jaoge Aur uski mohabbat par yakeen kar le ab bhi waqt hai Warna Khuda ke ghar adhure hi chale jaoge... - Romil Lucknawi. रास्तों में उलझ के रह जाओगे जो श़क करोगे तो बिछड़ के रह जाओगे और उसकी मोहब्बत पर यकीन कर ले अब भी वक़्त है वरना खुदा के घर अधूरे ही चले जाओगे... - रोमिल लखनवी.

Nice Checks Shirt...

Image

Badnaam bada ho gaya

Badnaam bada ho gaya Jabse teri nazar mein aaya mera naam bada ho gaya. Jawab toh sab tune hi diye Main to sirf duniya ke liye sawal ho gaya. Ilzaam kya hai yeh bhi na jaana taman umar Mujrim main sare aam ho gaya. Meri nazar mein jo ban na saka insaan Suna hai woh duniya ke liye misaal ho gaya. Meri khawaishon ko barbaad karke manata hai jashn Woh insaan mehfilon ki shaan ho gaya. Badnaam bada ho gaya Jabse teri nazar mein aaya mera naam bada ho gaya. - Romil Lucknawi.

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है खवाब जिसका मेरे सोते हुए चहरे पर ख़ुशी की झलक बिखेर जाता है आँख खोलू तो सफ़ेद बादलों में धूंधला-धूंधला सा चेहरा किसी का नज़र आता है नाम पूछूं तो परी बताकर वोह गायब हो जाता है... यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है... नाज़ है बाबा... नाज़... - रोमिल लखनवी

Red Rose... Maa Tere Liye...

Image

Apne anbheje khaton ka jawab kisse loon

Apne anbheje khaton ka jawab kisse loon Jo poore na ho sake woh khawab kisse loon. Teri talaash mein guzar gaya yeh bhi saal Apni talaash-e-safar ka hisaab kisse loon Jise chaha use pa na sake Apni khawaishon ka inteqaam kisse loon. Aakhir tum hoti kaun thi mera dil todane wali Is sawaal ka jawab mein kisse loon - Romil अपने अनभेजे खतों का जवाब किससे लूं जो पूरे न हो सके वोह खवाब किससे लूं. तेरी तलाश में गुज़र गया यह भी साल अपनी तलाश-ए-सफ़र का हिसाब किससे लूं. जिसे चाहा उसे पा न सके अपनी खवाइशों का इन्तेकाम किससे लूं. आखिर तुम होती कौन थी मेरा दिल तोड़ने वाली इस सवाल का जवाब मैं किससे लूं. - रोमिल

Bhuli Bisari Baatein

Bhuli Bisari Baatein Sadak par khade hokar kya kar rahe ho janaab-e-ali... aati jaati ladkiyon ko dekh rahe ho... "Nahi baba... main aati-jaati cars ko dekh raha hoon... mera bhi mann karta hai car mein baithane ka" "Main chahta hoon main nai-nai car se school aaoon..., mujhe sab car bahut pasand hai." Aap kya karoge sab car ka... hum to cycle se aate hai Sultan, aur hamari gali mein to car jayegi nahi... fir hum aap alag ho jayenge... "main sab donate kar dunga... aur NaaZ hum-tum cycle se hi aayenge-jayenge hamesha..." Yeh lo agar donate hi karna hai to Padai karo ji... Aap jante ho Sultan... "Vidyadanam Mahadanam" aisa daan dena chahiye jo sarvshetra ho... Jo umarbhar kaam aaye... Jo hamesha aapko samman dilaye...Yeh car ko 3-4 saal mein kharab ho jayegi...  hum sadak kinare wale school mein copy, pencil, chatai, kitab, bag, pencil box donate kar sakte hai... hain na... aur jab bade ho jayenge tab dress denge, fees bhi denge bacchon ki, unke l...

खुश्क पत्ते की तरह यादें उड़ा दो

खुश्क पत्ते की तरह यादें उड़ा दो यह मौसम है हवाओं का मेरे यारों... * कभी अपने तो कभी पराये थे यह इंसान नहीं कटपुतलिया है मेरे यारों... * हवां के तूफानों में भी भूझे नहीं  यह मुहब्बत के दीये है मेरे यारों... * बड़ी मुद्दतों के बाद उनका सलाम आया यह उनकी मुहब्बत नहीं, दिल की बेबसी है मेरे यारों... - रोमिल लखनवी...

Pink Roses... Maa Tere Liye...

Image

Aadhora chand nikal aaya hai.

Jab bhi kuche-e-gali se main nikala uske bina logon ko yeh kehte suna  aadhora chand nikal aaya hai. - Romil Lucknawi.  जब भी कुचे-ए-गली से मैं निकला उसके बिना लोगों को यह कहते सुना अधूरा चाँद निकल आया हैं। - रोमिल लखनवी     

Garibi mein bhi anand hota hai...

Garibi mein bhi anand hota hai... Bachpan se hi mujhe ice cream khane ka bahut shauk tha... Main roj shaam ko 4 baje hi apne ghar ke gate ke upper wali deewar par baith jata tha aur ice cream wale ka intezaar karta tha... Bahut excited hota tha.. ice cream wale ko aata dekhana, uski aawaz sunna, fir usse ice cream ke rates pata karna... bhaiya woh chocolate wali kitni ki hai, bhaiya woh kesar wali, bhaiya woh kulfi wali kitne ki hai... bahut excited lagta tha  uske thele ka dhakkan khol kar, pahiya ke upper ek kadam rakh kar, usmein icecream dekhana... us samay pocket mein sirf 2/- rupiya hota tha... isliye meri pasandida ice cream milkbar aur orangebar hoti thi... ice cream khareed kar woh maze se chatkare lekar khana... fir apni orange tongue doston ko dikhana... haath ki ungaliyaan bhi orange-orange ho jaati thi... kabhi kabhi to shirt par bhi ice cream gir jaati thi... woh milkbar ka daag... Ab woh excitement nahi hai... main to roz ice cream khata hoon, magar woh 2/- rupiya wa...

बसाये अपनी दुनिया हम दोनों जहाँ से दूर

बसाये अपनी दुनिया हम दोनों जहाँ से दूर इस मुहब्बत-ए-ज़ालिम दुनिया से दूर उस तकदीर-ए-मालिक खुदा से दूर चारों तरफ फैला हो खुशियों का बगीचा हम-तुम रहे सदियों तक खिज़ा से दूर मेरी झुकाती नज़रों ने वोह काम कर दिया जिससे रहे मेरे लब-ओ-जुबान मीलों दूर बहुत देख लिए है हमने-तुमने जुदाई के बसंत अब मिलन हो जाये न रहो तुम हमसे दूर, न रहे हम तुमसे दूर. - रोमिल लखनवी

Red Rose... Maa Tere Liye...

Image

Zindagi Naam-E-Hussain se

Zindagi Naam-E-Hussain se mansuub rahe Aur kisi se ristha rahe na rahe. - Romil Lucknawi. (Mansuub = Related) ज़िन्दगी नाम-ए-हुसैन से मंसूब रहे और किसी से रिश्ता रहे न रहे। - रोमिल लखनवी

Uski chuppi, uski khamoshi par na ja

Uski chuppi, uski khamoshi par na ja Abhi baki usmein aawaz bhi hai. Na samaj use pinjare ka panchi Abhi baki uske pankhon mein udaan bhi hai. Itna bhi na samjho mujhe akela Mere kai dost, humraaz bhi hai. Aur tum to bas itne mein hi thak  haar gaye Mohabbat-E-zindagi mein aane abhi kai toofan bhi hai. - Romil Lucknawi. उसकी चुप्पी, उसकी ख़ामोशी पर न जा अभी बाकि उसमें आवाज़ भी है न समझ उसे पिंजरे का पंछी अभी बाकि उसके पंखों में उड़ान भी है  इतना भी न समझो मुझे अकेला मेरा कई दोस्त, हमराज़ भी है और तुम तो बस इतने में ही थक-हार गए मोहब्बत-ए-ज़िन्दगी में आने अभी कई तूफ़ान भी है। - रोमिल लखनवी   

Subah ke 4 baje...

TIMEPASS ! Subah ke 4 baje Lucknow Bus Station par baitha main yeh soch raha hoon ki ghar jau ya fir yahi hi so jau. Autowale bhaiya ko mannmane kiraya charge na karne ke liye manana Gali ke kutton ko bhokhe na... isliye puchkarna Itni subah jakar ghar ka darwaza khatkhatana Luggage khali karna Fir Juice peete hue Rabb ko gussa karna Fir mehboob ki tasveer ko chumate hue sone ki koshish karna. Kaise kar payunga itna kuch samaj nahi aata hai... Isi kashmakash mein main yahi bus station ki kursi par hi baithe-baithe so jane ki koshish karta hoon. - Romil Lucknawi.

Raat ke 2 baje...

TIMEPASS ! Raat ke 2 baje Sultanpur mein baith kar Chai ki chuski lete hue khayal aaya Ki zindagi itni akeli, kabhi na thi Ki roz ek soj, ek paheli kabhi na thi Kabhi nahi kisi ka khayal reh-reh kar aata tha Kabhi nahi koi iskadar yaad aata tha Kabhi nahi mobile ko hum baar-baar niharate the Kabhi nahi kisi ko itna mann hi mann gussa hum karte the Kabhi nahi kisi ki tasveer se ladate the. Kabhi kabhi sochata hoon ki zindagi itni akeli na thi... - Romil Lucknawi.

Hazaron aibon se

Hazaron aibon se chutkara pa liya maine, bas yahi aib mujh main baaki hai Tasveer uski seene se na lagao to kambhakt mujhe neend nahi aati hai. - Romil Lucknawi. हजारों ऐबों से छुटकारा पा लिया मैंने, बस यही ऐब मुझमें बाकी है तस्वीर उसकी सीने से न लगाओ तो कम्भाक्त मुझे नींद नहीं आती है। - रोमिल लखनवी

Uski is ada par qurban hum jaye

Uski is ada pe qurbaan hum jaye Kehte hai ishq bhi humse karo par khayal rahe juban pe hamara naam bhi na aaye. - Romil Lucknawi. उसकी इस अदा पे कुर्बान हम जाये कहते है इश्क भी हमसे करो पर ख्याल रहे जुबान पे हमारा नाम भी न आये। - रोमिल लखनवी

Chahe jitni chala lo aandhiyaan

Chahe jitni bhi chala lo aandhiyaan Iski lau na bhuja paoge Yeh woh chirag hai jo Allah ki panah mein rehta hai... - Romil Lucknawi. चाहे जितनी भी चला लो आंधियाँ इसकी लौ न भुझा पाओगे यह वोह चिराग है जो अल्लाह की पनाह में रहता है। - रोमिल लखनवी 

Lab mere mithas se bhare rehte hai

लब मेरे मिठास से भरे रहते है नाम-ए-हुसैन मैंने पिया है बहुत। - रोमिल Lab mere mithas se bhare rehte hai Naam-E-Hussain maine piya hai bahut. - Romil Lucknawi.

Dheemi-Dheemi Jalti Bhattiyon Ki Aanch

Dheemi-Dheemi jalti bhattiyon ki aanch par angadai lena Koi ghost se to seekhe Lakhnavi Seek Kabab hona. - Romil Lucknawi. धीमी-धीमी जलती भट्टियों की आँच पर अंगड़ाई लेना कोई घोस्ट से तो सीखे लखनवी सीक-कबाब होना।  - रोमिल लखनवी

Ta-Umar Rooh Ko Zakhami Karte Rahenge

Ta-Umar rooh ko zakhami karte rahenge yeh do din zindagi ke Pehla Ruksat-E-Maa ka, dusara Maatam-E-Hussain ka. - Romil Lucknawi. ता-उम्र रूह को ज़ख़्मी करते रहेंगे यह दो दिन ज़िन्दगी के  पहला रुक्सत-ए-माँ का, दूसरा मातम-ए-हुसैन का। - रोमिल लखनवी

Beautiful Pink Rose... Bhavo Tere Liye

Image

Nashe-E-Ishq mein do gunah kiye hai maine

Nashe-E-Ishq mein do gunah kiye hai maine Ek Allah ki bandagi se door raha hoon Dusara Maa ka dil dukhaya hai maine. - Romil Lucknawi. नशे-ए-इश्क में दो गुनाह किये है मैंने एक अल्लाह की बंदगी से दूर रहा हूँ दूसरा माँ का दिल दुखाया है मैंने। - रोमिल लखनवी 

Deepak... Maa Tere Liye...

Image

Khayal uska liye

Khayal uska liye Allah ki bandagi mein hoon Mujhe gunehgar na samjho main Ishq ke aakhiri daur mein hoon. - Romil Lucknawi ख्याल उसका लिए अल्लाह की बंदगी में हूँ  मुझे गुनेह्गर न समझो में इश्क़ के आखिरी दौर में हूँ। - रोमिल लखनवी 

Red Rose... Maa Tere Liye...

Image

Allah janta hai

Har rastee ki khabar Allah janta hai Tu chal, bas chal, na kar fikr Allah janta hai Hai tere kai raaz, Allah janta hai Teri neki-badi ka hisaab Allah janta hai Kab khulegi teri qismat Allah janta hai Kyon laga hai is par taala Allah janta hai Kab aayegi tujhe maut Allah janta hai Maut ke baad kahan hoga tera jahan Allah janta hai Kyun chal rahi hai qainat Allah janta hai Ab aayegi qayamat Allah janta hai Tere qadam-dar-qadam Allah janta hai Tere har rastee ki khabar Allah janta hai - Romil Lucknawi

Roses... Maa Tere Liye...

Image

Saare sawalon ke jawab

Saare sawalon ke jawab taiyaar hai uske pass Lagta hai pehle se hi bewafai ka irada tha... - Romil Lucknawi. सारे सवालों के जवाब तैयार है उसके पास लगता है पहले से ही बेवफाई का इरादा था। - रोमिल लखनवी

chalo teri baaton par

"chalo teri baaton par aitbaar kar lete hai zaalim tum bhi insaan ho koi jhoote kisse-kahaniyon ki likhi kitab nahi" - Romil Lucknawi चलो तेरी बातों पर ऐतबार कर लेते है ज़ालिम तुम भी इंसान हो कोई झूठे किस्से-कहानियों की लिखी किताब नहीं। - रोमिल लखनवी 

Yeh garib ka chula hai...

Siyasat-e-sehansha yeh garib ka chula hai isse kahan GDP samaj aati hai Kahan yeh Rajkoshiye Ghata samaj pata hai Vikas Dar se bhi iska koi sarokar nahi Yeh garib ka chula hai... Isse to bas badti hui mehangai nazar aati Handi mein pani ke beech pakti hui chawal ki kankari nazar aati hai Bhookhe sote hue bacche, majboor maa-baap ki bheeghi aankhein nazar aati hai. Yeh garib ka chula hai... Express Way bhi kahan isko dikhata hai Mall se bhi kahan iska koi rishta hai Free mobile ki dhun bhi kahan sukhi lakdi ka kaam kar payegi Bharat Bandh ki goonj se kahan yeh jalta hai Yeh garib ka chula hai... Mahine mein 15 din yeh jal nahi pata hai Mann mein kitne vyanjano ko pakane ki abhilasha lekar roz marr yeh jata hai Ab iska shinghar, pooja pehle jaisi hoti nahi Ab maa isko mitti se leep kar sukhoti nahi Yeh garib ka chula hai isse GDP samaj aati nahi... - Romil Lucknawi

Yeh kiske liye...

Yeh kiske liye haanthon mein heena sajaye baithe ho Raja Ji to hai pardesh mein Rani kiske liye shinghar sajaye baithe ho Kyun khanak rahi hai baar-baar payal tumhari Kiske intezaar mein kiwad par nazare tikaye baithe ho! BOLO? - Romil Arora यह किसके लिए हाथों में हिना सजाये बैठे हो राजा जी तो है परदेश में रानी किसके लिए श्रंगार सजाये बैठे हो क्यों खनक रही है बार-बार पायल तुम्हारी किसके इंतज़ार में किवाड़ पर नज़ारे टिकाये बैठे हो। बोलो? - रोमिल अरोरा    

Gagan ko chumati iski khokali deewarein

Gagan ko chumati Iski khokali deewarein hamara itihaas bayan karti hai Is khandar mein, main akela nahi rehta bujurgon ki duaien saath rehti hai. Tum laga nahi sakte hamare shaan-o-shauqat ka hisaab Aaj bhi hamare ghar ki betiyaan tehzeeb-ijjat-pardedari-prakarm ke saath rehti hai. - Romil Arora गगन को चूमती इसकी खोकली दीवारें हमारा इतिहास बयान करती है इस खंडर में, मैं अकेला नहीं रहता बुजुर्गों की दुआएँ साथ रहती है  तुम लगा नहीं सकते हमारे शान-ओ-शौक़त का हिसाब आज भी हमारे घर की बेटियाँ तहज़ीब-इज्ज़त-परदेदारी-पराक्रम के साथ रहती है। - रोमिल अरोरा

Ab mumkin nahi hai

Ab mumkin nahi hai mere qalam se tera zikr hona Khud mere haanthon se apna bura hona. - Romil Lucknawi. अब मुमकिन नहीं है मेरे कलम से तेरा ज़िक्र होना खुद मेरे हाथों से अपना बुरा होना। - रोमिल लखनवी  

Uski nigahoon ke isharon se rukh gaye qadam

Uski nigaah ke isharon se ruk gaye qadam Thak kar bole lagta hai manzil pe pahuch gaye hai hum Aur woh jisse teri mehfil mein hote the hungame Na jaane kahan hai woh gungharoo, woh haanthon mein bandhe phool, woh jaam ka pyala, kahan baithe hue hai hum... - Romil Lucknawi. उसकी निगाह की इशारों से रुक गए क़दम थक कर बोले लगता है मंजिल पे पहुँच गए है हम और वोह जिससे तेरी महफ़िल में होते थे हंगामे न जाने कहाँ है वोह घुँघरू वो हाथों में बंधे फूल वोह जाम का प्याला कहाँ बैठे हुए है हम। - रोमिल लखनवी       

Basaye apni dunia hum dono jahan se door

Basaye apni dunia hum dono jahan se door Is mohabbat-e-zalim dunia se door Us taqdeer-e-malik khuda se door. Charon taraf fhela ho khushiyon ka  bagicha Hum-Tum rahe sadiyon tak khiza se door Meri jhukati nazaron ne woh kaam kar diya Jisse rahe mere lab-o-juban milon door Bahut dekh liye hai humne-tumne  judai ke basant Ab milan ho jaye Na raho tum humse door, na rahe hum tumse door. - Romil Lucknawi..

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko Gunehgaron mein shaamil hoon, bina kiye gunah ko. - Romil Lucknawi. फ़िक्र-ए-रोज़ी में भूला बैठे खुदा को गुनेह्गारों में शामिल हूँ, बिना किये गुनाह हो। - रोमिल लखनवी

Na samajhana mujhe anadi...

TIMEPASS Na samajhana mujhe anadi Main hoon ek khiladi Na seedhi saadhi bohli Main hoon tez dhari Na mujhe gunda chahiye, na chahiye mawali Main hoon DON ki beti DON ki hi banungi gharwali... Yeh baat samaj aai Ya fir doon ek gali... Teri bhehan ki.. Na samajhana mujhe anadi Main hoon ek khiladi hehehe

Mujhse mohabbat ka aisa inteqaam na le

Mujhse mohabbat ka aisa inteqaam na le Ki tu mera paigaam na le Dil ko yeh hausala hi rehne de, ki tu door sahi hai Khamosh rehkar tu mera imtiham na le. - Romil Lucknawi. मुझसे मोहब्बत का ऐसा इंतेक़ाम न ले कि  तू मेरा पैगाम न ले  दिल को यह हौसला ही रहने दे, की तू दूर सही है खामोश रहकर तू मेरा इम्तिहाम न ले। - रोमिल लखनवी  

Oranging flavour...

Image

Barfi Movie (2012) - All Official Video and Audio Full Songs

DELETED

Main Kya Karoon... Iss Dil Ka Main Ab Kya Karoon - Barfi (2012)

Image
Dil yeh mera, bas mein nahi Pehle kabhi aisa hota tha nahi Hmm.. Dil yeh mera, bas mein nahi Pehle kabhi, aisa hota tha nahi Tu hi bata iss dil ka main Ab kya karoon Kehne pe, chalta nahi Kuch dino se, meri bhi sunta nahi Tu hi bata iss dil ka main, uff ab main kya karoon Main kya karoon... Iss dil ka kya karoon, main kya karoon... Karta awaargi  Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki Jaane gumm hai kahaan Baaton mein hai pada, bekaar ki Karta awaargi  Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki Na jaane gumm hai kahaan Baaton mein hai pada, bekaar ki Ulti yeh baat hai Aise halaat hai Ghalti kare yeh main bharu Uff dil ka kya karoon Main kya karoon... Iss dil ka kya karoon, main kya karoon... Dil pe mera kaabu nahin Fitrat kabhi iski aisi thi nahin Tu hi bata iss dil ka main Ab kya karoon Kehne pe, chalta nahi Kuch dino se, meri bhi sunta nahi Tu hi bata iss dil ka main, uff dil ka kya karoon Main kya karoon... Uff ab main kya karoon...

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है मेरे दिल-ओ-दिमाग़ पर एक कोहराम मचा रखा है रात भर चहकती है उसकी बोलियाँ कानों में उस ज़ालिम ने सोना हराम कर रखा है।  बैठे हुए देखूं तो एक आफत सी लगती है चलते हुए क़यामत नाम रखा है होगा किसी कोठी के साये में उसका आशियाना अभी तो उसने हमारे घर डेरा डाल रखा है। और उसकी मीठी बोलियों पर मत जा रोमिल इसने न जाने कितनो को अपना आशिक बना रखा हैं। - रोमिल लखनवी 

White Rose... Maa Tere Liye...

Image

Barfi movie...

Barfi movie... ek dum barfi ki taraf fresh, sweet, simple and delicious. Bahut samay baad ek acchi meaningful movie dekhane ko mili. Last time Guzarish movie dekhi thi... Barfi... ek aisa pyar jo ehsaas deta hai, rooh ko mehsush hota hai, jo sirf sukh aur shanti  deta hai. Barfi dekho aur sacche pyar ke ehsaas mein kho jao.

Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski

Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski Isme kisi aur ka khayaal aaye to duniya khak ho jaye. - Romil Lucknawi. मेरे दिल की दुनिया पे चलती है हुकुमत उसकी इसमें किसी और का ख्याल आये तो दुनिया खाक हो जाये। - रोमिल लखनवी 

White Rose... Bhavo Aapke Liye...

Image

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki Behtar hoga kuch pal le liye lab khamosh ho jaye. - Romil Lucknawi. कद्र नहीं है उनको तेरे अल्फाजों की बेहतर होगा कुछ पल के लिए लब खामोश हो जाये। - रोमिल लखनवी   

Bistar par raat angadai mein guzar di

Bisrat par raat angadai mein guzar di Lete rahe sholon par, ishqk ne hawa di. Kambakkht mehak uski raat bhar aati rahi hamare jism se Yeh kaun si itra usne baahon mein bhar kar dal di. - Romil Lucknawi. बिस्तर पर रात अंगड़ाई में गुज़र दी लेटे रहे शोलों पर, इश्क ने हवा दी कम्बक्ख्त महक उसकी रात भर आती रही हमारे जिस्म से यह कौन सी इत्र उसने बाहों में भर कर डाल  दी। - रोमिल लखनवी          

Vachan

Main vachan deta hoon ki main hamari beti ko khud school chhod kar aayunga... aur shaam ko unko padaunga bhi baba... sacchi baba...

BEAUTIFUL WHITE ROSE... MAA TERE LIYE...

Image

मुहब्बत-ए-बाज़ार

मुहब्बत-ए-बाज़ार में इस तरह हमारी बोली लगाई गई    कभी हमारी कीमतें आसमान में चढ़ाई गई  कभी  कीमतें    हमारी ज़मीन पर लाई गई।    - रोमिल लखनवी

Red Roses... Bhavo Tere Liye...

Image

वचन

मैं वचन देता हूँ कि हमारी बेटी को सुबह स्कूल जाते वक़्त में ही तैयार करूँगा। सच्ची बाबा।