Posts

Showing posts from August, 2012

Tere Nainon Ke Main - Anuraag

Image
Slim n Trim 4 U Vinod Mehra n Maushami Chatterjee    ho o tere nainon ke main deep jalaaungaa tere nainon ke main deep jalaaungaa apni aankhon se duniyaa dikhlaaungaa achchaa wo kyaa hai ik mandir hai us mandir mein ik moorat hai ye moorat kaisi hoti hai teri soorat jaisi hoti hai wo kyaa hai ik mandir hai main kyaa jaanun chhaanv hai kyaa aur dhoop hai kyaa main kyaa jaanun chhaanv hai kyaa aur dhoop hai kyaa rang-birangi is duniyaa kaa roop hai kyaa wo kyaa hai ik parwat hai us parwat pe ik baadal hai ye baadal kaisaa hotaa hai tere aanchal jaisaa hotaa hai wo kyaa hai ik parwat hai mast hawaa ne ghoonghat kholaa kaliyon kaa mast hawaa ne ghoonghat kholaa kaliyon kaa jhoom ke mausam aayaa hai rang-raliyon kaa wo kyaa hai ik bagiyaa hai us bagiyaa mein kayi bhanwre hai bhanwre kyaa jogi hote hain nahin dil ke rogi hote hain wo kyaa hai ik bagiyaa hai aisi bhi anjaan nahin main ab sajnaa bin dekhe mujhko dikhtaa hai sab sajnaa achchhaa wo kyaa hai wo saagar hai us saagar mein ...

वचन

मैं यह वचन देता हूँ, मैं किसी के समक्ष कभी भी तुम्हारी निंदा, बुराई, चुगली नहीं करूँगा।

Rose Tere Liye... Maa...

Image

Kisi raaste par mujhe aawaz do, hairani ho jaye

Kisi raaste par mujhe aawaz do, hairani ho jaye Kuch mulaqatein anjani ho jaye. Jee bharkar dekhane do yeh noor sa chehara Yeh shakl jaani-pehchani ho jaye. Kisi roz Chand bankar utar jao mere angane mein Kuch raatein hamari bhi Chandani ho jaye. aur Bahut chittiyon se izhaar-e-mohabbat ho chuka Ab do-chaar meethi baatein aamne-samne ho jaye.  Husn-e-Jaana, dhal na jaye yeh zindagi tumhari  Ab apne bhi teen-chaar sehzade-sehzadi ho jaye... - Romil Lucknawi

Nainon Mein Darpan Hai - Aarop

Image
Slim n Trim Tere Liye... Lovely words n beautiful screenplay. Nainon me darpan hai darpan me koyi dekhoon jise subaho shaam bolo ji bolo ye raaz kholo ham bhi sunen dil ko thaam ya to hai dharti ya hai gagan ya to hai sooraj ya hai pawan uska to saajan hai naam Nainon me darpan hai darpan me koyi dekhoon jise subaho sham he e ho o masti me gaayen dil ko lubhaaye kaano me mishri bhi ghole bolo ji bolo ye raaz kholo mera manwa bhi dole ya to koyal ki hai raagini ya to paayal hai ya to baansuri naa uska to sajni hai naam naino me darpan hai darpan me koyi dekhoon jise subah o shaam hmm hmm ha aa ha aa bahki bahki chaal hai uski jhoome wo awaara bolo ji bolo ye raaz kholo kiski taraf hai ishaara bolo kiski taraf hai ishaara ya to jogi hai ya paagal ya to baadal hai yaa anchal unhun uska to preetam hai naam naino me darpan hai darpan me koyi dekhoon jise subah o shaam lalalalala

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki... roz ghar se breakfast karke jayunga... aur tiffin bhi office lekar jayunga... sacchi baba...

Mujhe is baat ka malal jarur hai

Mujhe is baat ka malal jarur hai Romil usne har faisala zati liya mere pass aane ka,  mujhse door jaane ka, mera karibi ban jaane ka,  mujhe tanha chhod jaane ka...  - Romil Lucknawi

aankhon ki haqiqat

kya sunau tumko apni aankhon ki haqiqat Romil usko dekha nahi fir bhi uski tasveer ismein rehti hai. - Romil Lucknawi

Aaj ki raat fir uski yaadon ke naam karde

Aaj ki raat fir uski yaadon ke naam karde Romil Fanaa-e-rooh ka silsila hai, daur-e-qayamat tak jaye ! - Romil Lucknawi 

Flower Tere Liye... Bhavo...

Image

Helicoptor tukde-tukde hua fir bhi bach gaya

Helicopter tukde-tukde hua fir bhi bach gaya Kaash mare hue bacche bhi baddua de paate. Jinki juban bari hui ho apshabdon aur galiyon se Aise log bhi satsang hai sunate. Khud to bhare jaate hai rupiyon ki potliyan Aur dusaron ko mooh-maya se dur rehna hai sekhate. Woh kya jaane Krishna kya hota hai Jo roop lekar Krishna ka, khud ko bhagwan hai kehlate. aur Uska ashram hai ya bacchon ki mrityunshala Aisi kai kaali-kartoot uski satyata pramadit hai karte. - Romil Lucknawi

Vachan...

Main vachan deta hoon... ki main morning mein tumko roz college chhod kar aayunga aur evening/ afternoon mein roz college se lekar aayunga aur tumhare lecture preparation mein 100% help karunga.

Janam-Janam Ka Saath Hai - Bheeghi Palkein

Janam Janam Ka Saath Hain Tumhara Humara Agar Na Milate Is Jeevan Mein, Lete Janam Dubara Jab Se Ghoomei Dharate, Sooraj Chand, Sitare Tab Se Mere Nigahe, Samajhe Tere Ishare Roop Badal Kar Sajan Maine, Fir Se Tumhe Pukara Pyar Ke Pankh Laga Ke, Door Kahi Udd Jaye Jaha Hawayen Gam Ke, Hum Tak Pahuch Na Paye Khushiyon Ke Khushabo Se, Mehake Ghar Sansar Humara

jawab-e-aarzoo

Waise to mujhe tujhse koi jawab-e-aarzoo nahi Magar mujhse meri rooh puchati hai ki bata teri mohabbat mein kami kya thi. - Romil Lucknawi 

Flowers Tere Liye Maa...

Image

lafzon ki jadugari

Waise to hum mizaz-e-rangeen hua karte the Unke lafzon ki jadugari ne dil lagana seekha diya. - Romil Lucknawi 

Na Jaane Tose Kaun Janam Ka Nata...

Image
Slim n Fit Tere Liye... Na jane tose kaun yugo ka nata,  he manmohan tujh bin raha naa jata Ek roop ek man ek jeevan,  ek sang ho hridayo ka sangam Dono ek duje ke darpan  Swayam sahaj sampoorna samarpan Bhool gaye dhadkan ki ginti,  Swans-Swans mein tu hi jaye samata Na jane tose kaun yungo ka nata Dristi jahan ki jahan ki wahi jami hai Hanth jahan the wahi dhare hai  Charan jahan the wahi ruke hai  Jag mein hai aur jag se pare hai Behti jaye samay ki dhara  Prem jahan tha wahi khada muskata  Krishna re tose janan - janam ka nata

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि हर रोज़ सुबह 5:00 बजे उठकर तुम्हारे साथ योगा करूँगा। सच्ची बाबा। हा हा हा ।

Unse milenge na jaane..

Unse milenge na jaane kitni raaton ke baad Yeh aansoo rukenge, na jaane kitni barsaton ke baad. - Romil Lucknawi.

Beautiful Flower... Bhavo Tere Liye...

Image

Mizaz-e-bandagi

Khud use naam do, khud us par yakeen kar lo Yeh mizaz-e-bandagi hai aur kuch nahi. - Romil Lucknawi

Tumhein se roshan hai raat meri Tumhein se - Loorie

Simple n  heart touching lyrics. tumhi se roshan hai raat meri-2  tumhi se harr din huwa sunehra   uthhe jahan bhi nazar tumhaari-2  ho zindagi ka wahin savera   sajje thay kabse tumhaare sapne  meri nigahon ke darpanon mein   sulagti rehti thi dheemi dheemi  yeh aag madhma ke savanon mein   sakoon hai jabse geysuon ki  haseen chaaon mein hai besera   uthhe jahan bhi nazar tumhaari  ho zindagi ka wahin savera   yeh kaise jaadoo jaga diye hain  mere khayalon k aanganon mein   sunoo sadaaye tumhaare dil ki  main apne seene ki dhadhkanon mein   jidhar bhi jaoon hai saath jaise  tumhari baahon ka narm gheyra   tumhi se roshan hai raat meri  tumhi se harr din huwa sunehra   naya nahin hai yeh dil ka mausam  bayi nahin hain chaahtein humaari   milay nahin thay magar hamesha  nigah mein thi chhavi tumhaari  thi mere ...

Vachan...

Majn yeh vachan deta hoon... ki jab bhi hum kisi function ya bazar jayenge to main hamesha dress tumhari dress ki matching ke hisab se hi pehnuga... taki hum  romantic couple lagane chahiye... hehehe... jaise tum red saree mein to main black suit mein... jaise tum white sitaron wali saree mein to main black suit mein... jaise tum lower mein to main capri mein. hehehehehe...

intezaar-e-yaar

khuda mere dard mein thodi si barkat kar de aaj raat nazaron ko fir intezaar-e-yaar kar de. - romil lucknawi

Rose... Tere Liye Maa...

Image

tasveer ke bagair

Jis tarah ibadat ki hai khuda ki dekhe bagair  Ta umar tujhe bhi talasha hai teri tasveer ke bagair - Romil Lucknawi

Mujhko Bhi Radha Bana Le Nandlal - Ankahi

Meaningful Lyrics mujhko bhi radha bana le nandlal - (4)  yashoda ke angana mai dungi buhari  teri muraliya ko dungi naa gari  matki luta dungi makhan kee sari - (2)  bansi bajaiya... bansi bajaiya o re kanhaiya mujh ko bhi kar de nihal - (2)  mujhko bhi radha...  charano me tere lipatke rahungi  tera diya har sukh dukh sahungi  chhaliye tujhe kabhi kuch naa kahungi - (2)  jamuna kinare... jamuna kinare rakhungi sajake kaaya kaa kesariya thal - (2)  mujhko bhi radha...

Vachan...

Main vachan deta hoon... main kabhi bhi tumse bathroom se aawaz lagakar towel, shampoo, under garments, soap, nail cutter, shaving kit ki farmaish nahi karunga... sachiiii... 

aks-e-dariya

aankhon ko yeh aks-e-dariya haasil nahi hota har roz naya gum, naya dard nahi hota. waise to husn-e-haseen lakon hai is shehar mein par tere jaisa har koi lafz-e-jadugar nahi hota.    - romil lucknawi

tu mujhse door hai...

tu mujhse door hai is baat par aankhein narm na kar mujhe ghazalon se chhune ka hunar aata hai... - romil lucknawi

My New Hair Style...

Image

Vachan

Main vachan deta hoon ki jab main tumhare saath shopping mein jayunga to saare bags main hi utayunga. Main har week tumko shopping mein le jayunga, fir chahe gulab ka phool hi kyon na lekar doon.

Beautiful Rose... Bhavo Tere Liye...

Image

Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya

Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya Safar-e-manzil mein the awara bana diya. Aye Khuda tujhe yeh kya suji Na mandir, na masjid Is dil ko tune mehboob-e-ghar bana diya. Sab raunaqe nadarad hai  Phool, Khushboo, Jheel, Mausam, Dhoop, Burf, Titli aur Hava Tune Kashmir-e-Jannat ko yeh kaisa udasi-e-chehara pehna diya. Dushman jo zakhm khakar bhi dua de Khuda, ishq ne usko yeh kaisa deewana bana diya. - Romil Lucknawi.

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि सास-बहु सीरियल के समय मैं तुमसे टीवी रिमोट नहीं छिनूँगा। बस उठकर चुपके से केबिल कट या फिर टीवी बंद कर दूंगा। हा हा हा...     

Rose... Tere Liye Bhavo...

Image

Ab tumhare SMS ka jawab daine ki talab nahi hoti

Ab uske SMS ka jawab daine ki talab nahi hoti Haal-e-dil mehboob ko likhu aisi hasrat nahi hoti. Maa ke waqt tum saath na de saki Ab tumhare saath ki jarurat nahi hoti. Ranj-O-Gum sunata to kisko sunata Tanha insaan ko mehfilon ki aadat nahi hoti. Tum hamare na hue kisi bhi keemat par Warna aashiqon ki kaun si dua poori nahi hoti. Kyon sune aur yakeen kare, uske bahano par Chah laine se kaun si doori tay nahi hoti. - Romil Lucknawi

New snap... Mi...Me...Mi...

Image
COPYRIGHT RESERVED.

वचन

मैं वचन देता हूँ कि मैं रात का भोजन तुम्हारे साथ, तुम्हारी ही थाली में करूँगा। यदि कभी बाहर भोजन करूँगा तो बाबा तुमको फ़ोन करके बता दूंगा। हा हा हा  

Orange Rose... Maa Tere Liye

Image

Bas thoda intezaar kar guzar jayegi raat

Bas thoda intezaar kar guzar jayegi raat Dhalte-Dhalte khud apni maut mar jayegi raat. Bas ek kiran ke saath subah hone ki hai dair Khud kisi andhere mein jakar dubak jayegi raat. Bas do ghadi, bas do ghadi ka saath dedo Sanam Aankh jhapakate hi dhal jayegi raat. aur Yeh sannata, yeh sunapan, yeh tanhai aur tumhari yaad Kahi saali jaan na lele yeh raat. - Romil Lucknawi.

Na Bole Tum...Na Maine Kuch Kahan Wallpapers

Image
Megha and Mohan will be seen romancing and honeymooning to Nepal alongwith their children.

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki main kabhi bhi ice cream akele nahi kahunga... yadi tum mere saath nahi hui to main tumhare hisse ki bhi ice cream kha jayunga. hehehe

ROSES... MAA TERE LIYE...

Image

Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega

Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega Yunhi zindagi-e-karwa chalta hai, chalta chala jayega. Na rahega yaad koi gila-shikwa, na koi hadsa Sab dhuaan hai, dhuaan ho jayega. Kise yaad rahegi mohabbat-e-dastaan-e-safar Sab kitabi kisse-kahani hai, kahani ho jayega. Yunh bhi hoga, woh hogi kisi gair ki baahon mein Dil-e-lahoo girta hai, girta reh jayega. aur Mausam haazar honge, dil-e-marammat ke Magar jo toota hai, woh toota reh jayega. - Romil Lucknawi.

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि मैं तुमसे कभी असत्य नहीं बोलूँगा और न ही कभी अपशब्द का प्रयोग करूँगा।   

White Rose... Maa Tere Liye...

Image

Har kisi ko manzil-e-ishq naseeb nahi hoti

Har kisi ko manzil-e-ishq naseeb nahi hoti Jab tak na mile mohabbat-e-dushman tab tak diwangi-e-had nahi hoti. Bahut majboor hokar karta hai uski tasveer se gile shikwe Magar yeh jo dil-e-takleef hai kam nahi hoti. Shikhar-e-manzil par pahuch kar jo baar-baar milti hai mujhe shikhast Fir bhi meri himmat kam nahi hoti aur Maa ki rukshati aur meri majboori ka din aaj bhi mei aankhon se samne hai Kya kahu duniya se meri nafrat kam nahi hoti. - Romil Lucknawi

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि हर परिस्थिति में, मैं तुमको सुख और शांति के साथ रखने का हर संभव प्रयास करूँगा। 

Yellow Rose Maa Tere Liye...

Image

Bastiyan ujadane mein dair kitni lagti hai

Bastiyan ujadane mein dair kitni lagti hai Majhabi aatank fehlane mein dair kitni lagti hai. Log to bane hote hai mom ke Zaraa si dhoop aa jaye... to fir pighalane mein dair kitni lagti hai. Uska guroor, uska swabhimaan usko jhukane ki izajat nahi deta Warna samjhauta karne mein dair kitni lagti hai. Bas ek sms aur fir shehar bhar mein bhagdar si mach gai Afwaah fehlane mein dair kitni lagti hai. Yeh to waqt ka sukrguzar hoon ki zakhm bhar deta hai Warna yaad kar aansoo bahane mein dair kitni lagti hai. Aur Woh khud hi nahi aana chahati thi teri maa ke janaze pe Warna dooriyaan tey karne mein dair kitni lagti hai. - Romil Lucknawi

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki subah uthane par sabse pehla main tumhare chehare ka deedar karunga... fir chahe woh tumhari tasveer hi kyon na ho...

Eid manane ko jee chahta hai

Eid manane ko jee chahta hai Tere pass aane ko jee chahta hai. Bahut dino se jee bhar kar khaya nahi khana Aaj tere haaton ki bani sewaiya khane ko jee chahata hai. Woh mauj-e-bachpan, woh khel-e-ladappan Aaj fir jee bhar ke gaane ko jee chahta hai Nai poshake, naye tohfe Aaj fir tarannum-e-lab sajane ko jee chahta hai. Takalluf na kar nazre milane se Aaj gale milne ko jee chahata hai Kismat se lad-jhagad kar Aaj tere pass aane ko jee chahta hai. #Romil Arora

Tanhai raat mein dasne lagti hai...

Tanhai raat mein dasne lagti hai Yaadon ki lau jalne lagti hai Bebas hokar hum karte hai tasveer se baatein Aankhon se neer tapakne lagti hai. Jaane tab kyon karti hai woh milan ki baat Jab jism ki aag mein jalne lagti hai Aur Tum kya jaano shiddat-e-mohabbat kya hoti hai Jab yeh pagadi rab-e-bandagi mein jhukane lagti hai Aankhon se aankhein beparda hone lagti hai Rooh-Rooh se bolne lagti hai. - Romil Lucknawi

Beautiful Flower... Tere Liye Maa...

Image

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki, yadi kisi karanvash meri wajah se tumhara hirday dukhi hoga, tumhare aankhon se neer niklega... to main apni har us galti ke liye prayachit karne ko taiyaar rahunga.

Khuda yeh manzar fir na dikhana

khuda yeh manzar fir na dikhana mere shehar mein aisa toofan fir na laana maana ki yeh mazhab-e-junoon hai par yeh tareeka fir na apnana logon ko kya mila mere shehar-e-sukun-o-chain loot kar yeh ulfat, yeh nadaniyaan fir apne bandon se mat karwana  aur qalam likhati hi nahi bolti bhi jyada hai apne bandon par koi mazhabi ilzaam na likhwana. - Romil Lucknawi

Looking Like Aged...

Image

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki, tumhare har ek sawal ka jawab main poori nistha, imandari, wafadari, vivekpurta ke saath dunga... aur apne har ek jawab se tumko prasanchit karne ka har sambhav prayas karunga.

My new snap...

Image

Nikal pade...

Nikal pade... hum dekhane Yamuna Express Highway... aakhir dekhe to kaisa hai... subah 5:00 hum utha gaye the... log khamkha humko "Raat ka Ullu" kehte hai... hehehe... Akele hai to kya gum hai... chahe to hamare bas mein kya nahi... Waise kudi acchi the... play school mein padati hai... punjabi hai... saree mein kinni sohne lag rahi thi... chalo bye n bye...

Mujhko yeh aarzoo hai izhaar kare woh khud

Mujhko yeh aarzoo hai ki izhaar kare woh khud Kisi nukkad, kisi chaurahe par mera intezaar kare khud. Nazaron mein band kiye deedar-e-tamanna Haq-e-mohabbat se sawal kare khud Duniya-e-jahan ki nazaron mein nazare mila Khuda-e-zameen-e-aasmaan ko shakshi maan, mujhe pyar kare khud Dekar dastak dil-e-darwaze pe Is viran-e-khandar ko ghar-e-aashiyana kare khud. - Romil Lucknawi

Rose Flower... Maa Tere Liye...

Image

Kareeb aakar log badal jaate hai

Kareeb aakar log badal jaate hai Baadal bina baras ke chale jaate hai Is baat ka ehsaas use kab hoga Romil Zindagi takleef deti hai, maut ke sang log guzar jate hai. Unhe sitamgar kyon na kahu Romil Jo aankhon se neendein cheen kar, khawab de jaate hai. Aur Jis naam ko raat bhar likh-likh ka choomati rahi aankhein tumhari Subah hone tak woh naam haatheliyon se bigad jaate hai. - Romil Lucknawi

Vachan

Main yeh vachan deta hoon, tumko safal, kamyab banane mein, main har sambhav tumhara sahyog karunga... Tumhari safalta se khud ko kabhi behbheet nai samjhunga apitu tumhari safalta, kamyabi ko khud ki safalta,kamyabi samjhunga.

Bade Saliqe se apni baat keh jata hai

Bade saliqe se apni baat keh jata hai Mera naam bhi nahi leta, badnaam kar jata hai. Uske husn ki tareef usse karu to kaise karu Mujhe jaise hi dekhata hai sharma jata hai. Aur Mehfil mein jiski juban se mera naam aate-aate reh gaya Woh hatheli par heena se likh mera naam raat bhar apne seene se lagata hai. Uske izhaar-e-mohabbat ka kaisa intezaar Romil Jo teri tasveer ke saath raat bhar lipata hai subah palat jata hai. - Romil Lucknawi

Orange Rose... Bhavo Tere Liye...

Image

Vachan...

Main yeh vachan deta hoon, k oi bhi parivarik aur vyaktigat nirnay laine se purv main tumko avgat karwana aavashak samjhunga aur us nirnay mein tumhari raaye ka samman karunga...

Raah-e-zindagi mein aisa bhi daur raha

Raah-e-zindagi mein ek aisa bhi daur raha Ki khuda tere siva koi bhi mera na raha. Aisa nahi dil waaqif-e-gum se nahi Magar ab woh mehboob-e-sitamgar na raha. Junoon-e-sajda liye jaate to hum jaate kahan Tere dar ke siva koi aashiyana na raha Aur Hijaab-e-ishq ka daur bhi kya daur hota tha Romil Ab woh nazar-e-sharmana, woh qatal-e-aam na raha. Aur Aaj fir khat mein gire uske khoon ke dhabbe dekh Khuda-e-kamaal-e-mohabbat par yakeen na raha. - Romil Lucknawi

Vachan...

Main tumko vachan deta hoon, chahe sui ke barabar ya fir pahad ke samaan koi bhi vastu kharidunga... hamesha sahi  vastu chunne mein mera saath dene ke liye, main tumko dhanevad dunga...

Yeh roz-marra ke vayakat-e-gum hai

Yeh roz-marra ke jo vakayat-e-gum hai Yahi zindagani suhani banate hai... Zara si honton par tabassum aaye to aansoo aa hi jate hai. Yeh kaisi saaza mili hai aashiqon ko... unki khidki ka band ho jana Koi jakar samjhaye unke ghar ke bujurgo ko Phool jawan ho to bhaware aa hi jaate hai. Aur Unka mujhse baat na karna Yeh koi nai baat nahi hai... Husn jab shabab par ho to nakhare aa hi jaate hai. Sote hue mera muskurate rehna Yeh unka kasoor nahi hai... Din jawani ke ho to aise khawab aa hi jaate hai. - Romil Lucknawi.

Vachan...

Main tumko vachan deta hoon, apne har sukh mein main tumko ismaran rakhunga, apne har dukh mein main sabse pehle tumko yaad karunga.

Red Rose... Maa Tere Liye...

Image

Ramleela maidan se hunkaar bharte hai ki Sarkar ukhad phenkege hum

Ramleela maidan se hunkaar bharte hai ki Sarkar ukhad phenkege hum Lagta hai bhool gaye hai aurat ke libaas mein bhage the hum. Gaye hai farzi passport ke chakkar mein jail Shaheedon ke saath tasveer chipka kar khud ko mahanpurush kehte hai hum. Jo khareedate hai jakar videshon mein upmahadeep aur sampattiyan Woh hi kehte hai kala dhan bharat layenge hum. Sabko bhojan Sabko pani Sabko shiksha Sabko swastha Sabko rojgar Chalo aise muddon par andolan kare hum. Aabadi mein No. 1, Olympic mein No. 55, 40% Aabadi garibi rekha se niche Chalo in aakadon ko badalne ka sankalp le hum. Ek ghar Ek gaadi Ek bank account Chalo apni seemao mein bandh kar saada jeevan, uccha vichar apnaye hum. - Romil Lucknawi

Blue Roses Tere Liye Maa...

Image

Dar-Dar bhatke zindagi-e-rasta na mila

Dar-dar bhatke zindagi-e-rasta na mila Kotiyaan to bhut mili magar ghar na mila. Sahukar, Thekedar, Baniya, Zameendaar Sab hai is mohalle mein Magar koi insaan na mila. Mera haal puchane wale bahut hai is jahan mein Jo mere sirhane baithe aisa humsafar na mila. TU, TU, TU, Sirf TU zindagi mein mujhe tujhse bada koi gum na mila. Aur Neend aaye to kaise aaye zaalim Abhi tak na woh tasveer Na woh khat Na woh gulab Sham-e-gum ko jo behlaye na woh intezaar mila. - Romil Lucknawi

Two White Roses.... Maa Tere Liye....

Image

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai Tera chehara mujhe khuda sa lagta hai Ek muddat se na koi tera khat, na paigam aaya Ab tera irada bewafa sa lagta hai Musalsal zindagi mein aate rahe hai gum Ab to gamo se dostana sa lagta hai Aye Khuda, Suna hai tune sanwari hai lakhon ki taqdeer Yeh koi jhoota kissa-afsana sa lagta hai Aur Bhookhmari, Bebasi, Majboori, Lachari,  Khuda teri in chitthiyon par keval Garib ka pata likha hua hai, aisa lagta hai Romil Lucknawi.