Posts

Showing posts from December, 2013

yaadon ki aaj soundhi-soundhi si khushaboo aa rahi hai

yaadon ki aaj soundhi-soundhi si khushboo aa rahi hai jaise sukhi mitthi pe paani ke chheethe maar gaya ho koi band kamre mein bhi ek roshani si jagmaga rahi hai jaise jannat se utar kar  mujhse  milne aaya ho koi ek saaya mere badan se lipat raha hai jaise kacchi mitti ki deewar, khatti-meethi imali ke ped ke neeche ho koi main raat bhar khud ko de raha hoon tasalliyaan kaash tujh jaisa ishq karne wala ho koi... #romil arora

chalo lafzon ki ek dunia banaye...

chalo lafzon ki ek dunia banaye kuch haal-e-din tum humko aur hum tumhein sunaye roz subah uthate hi ho ishq ki do-chaar baatein raaton ko hum suhane sapno se sajaye....  chalo lafzon ki ek dunia banaye... kabhi jhalla kar suna do tum khadi-khoti baatein kabhi hum tumhein meethi baaton se manaye kabhi mere lafzon mein ho hari mirch kabhi tumhare hoonth mishri se gungunaye... chalo lafzon ki ek dunia banaye... ro+mil  

Burai ko na kabhi gale lagao

Maa kehti thi... Burai ko na kabhi gale lagao Gum ke dino mein bhi hanso-muskurao. Paisa to sab kama lete hai "Bhalu" Logon ke dilo ko kama ke dikhao. Ghar chhota sahi, apna to hai, Isi ko pyar-sanskar se sajao. Jeet hamesha sach ki hoti hai "Bhalu" Darr kar kabhi jhoot ke samne sar na jhukao. Ainvayi hi takiye de naal roya karta hai Maa hoon teri... Kabhi to mainu apne dil da haal sunao. Ro+mil

My Horoscope

चरित्र Romil, आप एक संवेदनशील एवं भावुक व्यक्ति हैं। जीवन कीकठनाइयों का आप पर अन्य लोगों की तुलना में ज्यादा प्रभाव पड़ता हैपरिणामस्वरूप आप जीवन के कुछ सुखद पल खो देते हैं। दूसरों द्वार कही गयींबातों को आप दिल पर ले लेते हैं। अतः कुछ एसी बातें है जो आपको दुःख देतीहैं परन्तु उस पर ध्यान नहीं दिया जाना चाहिये।आपके कार्य करने का तरीका शान्तिपूर्ण है,परिणामस्वरूप आप अपने सहकर्मियों की नजर में इच्छाशक्ति-युक्त एवंदृढ-निश्चयी प्रतीत होते हैं। यह आपको अपना लक्ष्य प्राप्त करने में आपकीमदद करता है।आप बोलने से अधिक सोचते हैं और आपका यह चिन्तनतार्किक होता है। लोग आपसे सलाह मांगने इसलिये आते हैं क्योंकि आपका निर्णयपालन करने योग्य और निष्पक्ष होता है।आपमें अनेक उत्तम गुण हैं। आप एक सहानुभूतिपूर्णमनुष्य हैं, जोकि आपको एक अच्छा मित्र बनाता है। आप अनुरागी व देशभक्तहैं, यही कारण है कि आप एक अच्छे नागरिक भी हैं। आप प्यारे माता/पिता होंगे।आप अपने माता-पिता की इच्छानुसार कार्य करेंगे। निश्चय ही आपकी ये अच्छाइयांदूसरों पर भारी पड़ेंगी। सौभाग्य व संतुष्टि Romil, आप साहसी व महत्वाकांक्षी हैं। आप अपनी योजना प...

Ishq-e-basti basane ke liye

Ishq-e-basti basane ke liye Shayad kisi ne mujhse jyada dua padi hogi use paane ke liye. - Ro+mil Ishq mein ajeeb hai yeh bandishein Romil Tadap-tadap ke mit jana pasand hai, izhaar-e-mohabbat nahi. - Ro+mil

Khuda ki qasam hai...

Khuda ki qasam hai, use bewafa mat kahiye Uski khata nahi thi, yeh meri wafaon ka qasur tha. ro+mil

ab to bas yahi junoon

ab to bas yahi junoon dil-o-dimaag par chhaya hai ya to khuda mein mil jana hai ya fir khuda ko mita dena hai. ro+mil

Goodbye 2013

The last week of 2013 and I really can't stop smiling :-). Really. 2013 was horrible... horrible... horrible... I can not put everything that went wrong in my life this year, but suffice to say that I am super glad this damn year is OVER.... OVER... OVER... Not to be looked back at again. I Am going to be super-strong, and only look forward. To 2014. To new beginnings. To bigger and better. To wiser and happier. 2013... remember... for a quite reasons, but mostly for tears and death. The best part of 2013? Mujhe yeh pata chala ki kaun sach main mere apne hai. Is saal ne mujhe zindagi se rubaru karwaya hai... Tab mujhe pata chala ki mera koi nahi hai sirf meri awargi ke... Is liye ab aawaragi.... aawargi... Fhirte hai kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar... ek dusare ke humsafar main aur meri awargi....      MERRY X-MAS AND HAPPY NEW YEAR TO EVERYONE !!!

It's me.... Mi... Me.... Mi....

Image
Ninni kar lo.... Thalle so ja, thalle... copyright reserved

HaPpY X-MAS

Image

yeh saal bhi beetane ke kagaar pe hai

yeh saal bhi beetane ke kagaar pe hai main aur meri rooh maut ke intezaar mein hai bas isi sawaal pe dhadhak raha hai dil kya jism aaj bhi usse milan ki pyas mein hai? umar bhar sach kaha aur sach ke siwa kuch na kahan wohi hi aaj kisi ke jhooth ki giraft mein hai. gulab tehni se toota aur zameen pe na gira aaj bhi mehakta kisi ki goad mein hai dariya ke pass dekho kab se khada hua hai khuda, dariya ke pass dekho kab se khada hua hai woh girab shaks keval ek bond ki aas mein hai... Ro+mil

Kaisa unse masumiyat-ishq ka

Kaisa unse masumiyat-ishq ka jaal pehlaya tha Aaj bhi dil, zakhmi panchi ki tarah ussi mein fhas kar fhadfadate rehta hai... Ro+mil  Mumkil hai tumhein ishq bhi pehchan na paaye Itni baar jo bewafai ki hai tumne... Ro+mil

Hairan hoon yeh dekh kar

Hairan hoon yeh dekh kar main Romil Log buddhe maa-baap ko ghar mein tahna chhod kar ibadat ke liye mandir-masjid mein hai jaate... ro+mil

Itna dhoondha use par woh mila hi nahi

Itna dhoondha use  par woh mila hi nahi par mere safar ki koi manzil hi nahi Jitne mooh, utani baatein Par koi aajtak sach tak pahucha hi nahi Rupiyon-walon ke haaton bika hua hai Khuda Garibon ki woh sunata hi nahi... aur Kehne ko to Lakhnav mein bahut hai mere apne Par koi mujhse apno ki tarah milta hi nahi... Ro+mil    

ishq usse karoon

ishq usse karoon aur koi khawaish bhi na karu woh bewafai kare aur main sawal bhi na karu meri duaon ka sila kab milega mujhe aye khuda tu aazmata rahe mujhe aur main tujhe aazmaya na karu. ro+mil

dil ki basti...

Romil, dil ki basti basane mein saat saal lag gaye Us kambhakht ki bewafai ne ek pal mein ujad di. Ro+mil Maulavi koi tabeez pehna de mujhko Yeh rog-e-ishq hai, chutata hi nahi. Ro+mil

Bas isi talash mein khatam ho gai zindagi

Bas isi talash mein khatam ho gai zindagi Romil Kabhi mujhe uske ghar ka pata na mila, Kabhi main usko apne ghar pe na mila. Ro+mil Maa ke jaane ke baad mujhpar ek aur jimmedari badh gai hai Romil Ab main chahkar bhi koi galat kaam nahi kar sakta. Ro+mil  

yeh ishq-e-samandar hai...

yeh ishq-e-samandar hai... chalo khud-ba-khud se faisala kar lo ya kashti ka safar kar lo ya fir naseeb mein saahil likh lo. ro+mil Khuda... yeh roz-roz ke  ladai- jhagadon, gile-shikwon, ilzaamon se thak gaya hoon main kyon nahi ek baar mil-baithkar hum-tum koi faisala kar lete.  ro+mil

Na jaane

Na jaane in masoomo mein yeh hunar kahan se aata hai Zameen pe qadam rakhate hi a miri aur garibi mein fark samaj jaate hai...  ro+mil Shiva... ab chhod do tum yeh bhabhut se shingar karna Yeh raakh, masoom bacchon ki jali hui laashon ki hai... ro+mil

thakan ne

thakan ne footpath ki thandi zameen par sona seekha diya  ghar ki jimmedariyon ne us masoom se bacche ko budha bana diya... tum yeh kehte ho main us be-reham, be-dil Khuda ko apna kahoon jiske bhejhe fariston ne bukhe bacchon ke jism se rooh ko nikal liya...   ro+mil ab chhod bhi do Miya, ab chhod bhi do yeh zindagi ka safar kab tak gumo ke bhoj uthate rahoge Miya, kab tak apni barbadi ke liye ishq ko kasurwar tehrate rahoge. ab chhod bhi do... ro+mil  

Suna hai

Suna hai Rab se bahut banti hai teri Ek ehsaan to mujhpar kar... usse puch kar zara bata de khataein meri... ro+mil chalo khuda hum-tum ek saudebazi karte hai tu mujhe de badshahat zameen ki main apni riyasat mein teri tasveerein nahi bikane dunga footpaton pe. ro+mil   

Surkh hoonton par unke Safed jhooth to dekho

Surkh hoonton par unke Safed jhooth to dekho Jaag kar katati hai Hamari Raatein, woh sote hai kaise Sukun-o-Chain se dekho Karne chale the hum Khuda se unki bewafai ka gila-shikwa Woh khud unka hua baitha hai Shikaar dekho.  Ro+mil Kaise tujhe is duniya par fark mehsus hota hai aye Khuda Yahan chand sikkon ke liye goad mein bacchein rote hai. Ro+mil

Timepassss

Timepassss Kutte, sher ka peecha nahi karte hai... Abe... Behan de take, romil de saaale Sher bhi Kutte se darr kar aage-aage bhaga nahi karte hai... chal nikal... hehehe

khawaish-e-aarzoo hai

khawaish-e-aarzoo hai ki marr jayun issi waqt khauf-e-rooh hai ki jaana hai ussi khuda ke ghar. ro+mil

main na-qamyab sahi, magar khush hoon ismein

main na-qamyab sahi, magar khush hoon ismein na harne ka khauf hai, na jeetne ka koi junoon hai ismein. ro+mil 

Suno....

Oye suno... Suno na... Suno travel consultant... Yeh jo tumhare allah ki banai jannat hai kitni door hogi mere lakhnav se... kya paidal hi rasta taye karna padega ya fir koi ticket-shiket lene padegi...  waise kitne ki hogi ticket-shiket...garib insaan hoon isliye pehle rupiyon ka intezaam karna padega... yeh batao wahan gumane-dekhane ki kaun-kaun si jagah hai... kya 6 nights 7 days ka travel program banau ya fir wahan jyada din bhi lag sakte hai... hotel thoda sasta wala hi batana... kya mujhe travel insurance lena chahiye? waise kya tum kisi bank se travel loan ka intezaam karwa sakti ho? allah ki jannat ka mausam kaisa hoga?  kya mujhe sardi wale kapde rakhane padenge? kya jannat mein local ghumane ke liye koi taxi milegi?  thoda jaldi batana... mujhe bhi hai thoda jaldi hai jannat jaana... waise tumhari consultation fees kitni hogi?

guzarish hai

guzarish hai, koi to faisala kar do ya mujhe apni qaid mein giraftar kar lo ya fir mujhe apni giraft se aazad kar do. ro+mil

Virasatein chali gai to kya hua

Virasatein chali gai to kya hua Romil Hum nawabi log hai, aaj bhi akad ki chadar odha kar sote hai. Ro+mil

some line fir yaad aai.... direct heart se...

khuda mujhe marne k baad jehannum mein hi bhejhana yeh vaada hai mera tujhse main teri banai jehannum ko bhi jannat mein badal dunga. * khuda mujhse darta hai isliye meri har kamyabi mein badha utpan karta hai woh janta hai Romil kuch ban gaya to lakhon logon ki qismat badal dega. * kya hua jo usne do chaar baatein suna di Romil hum garib log hai, apni to behzat hone ki aadat si hai. * maa kehti thi haaram ki kamai se mere ghar mein fhaka lakh guna aacha hai allah ka qaram hai behzat hokar do roti kamane se, bhoke pet marna lakh guna aacha hai allah ka qaram hai. * garibi ne mujhe ek baat seekha di romil koi kisi ka saaga nahi hai is dunia mein. ro+mil

isse badi aur sazaa

isse badi aur sazaa kya hogi mere naseeb mein mere liye yeh sazaa kafi hai ki tum aaj bhi ajnabi ho... ro+mil

kya hua usne jo....

kya hua usne jo do-chaar baatein suna di romil hum garib log hai, humko behzat hone ki aadat si hai. ro+mil