Posts

Showing posts from September, 2015

Vyah Oh De Naal Karawange Jedi Bebe Nu Pasand Hoyegi - Myself Pendu (2015)

Image

अपने आपसे शिकायतें कैसी?

जिम्मेदारियाँ हो, चाहे मजबूरियाँ  कुछ भी हो "सनी" जिंदा तो रहना ही हैं तुझे  फिर अपने आपसे शिकायतें कैसी?

Sardarni - Kulbir Jhinjer - Tarsem Jassar (2015)

Image

Dohari Tasveer...

Dohare charit ki dohari tasveer, Yeh hai gunaho ki tasveer... Suna hai isne bahut loote hai fakeer... Yeh kaise log hai, jo dusaron ki zindagi tabah kar muskurate hai, Qismat se jo ban baithe hai vajeer... Khada hoon jaise aaj bhi Maa ki jalti hui Chita ke samne Baar-Baar dekhata apne haaton ki lakeer... Zindagi-e-qitab meri kahi se bhi kholkar padh lo... Har panne pe likha hoga tum ho mere qaid ki zanjeer.... Sun

सामने है माँ की तस्वीर सोचता हूँ क्या बात करूँ?

सामने है माँ की तस्वीर सोचता हूँ क्या बात करूँ? तकरार करूँ या फिर आंसूओं की बरसात करूँ.. देर तक निहारता रहूँ या फिर सीने से लगाकर बाहों में गिरफ्तार करूँ. फूलों से श्रृंगार करूँ या फिर दीप-ज्योति प्रज्जावलित करूँ. सर झुकाए खड़ा रहूँ या फिर ढेर सारी बातें करूँ. सामने है माँ की तस्वीर सोचता हूँ क्या बात करूँ? - सनी

Tum puchate ho ki zindagi ki keemat kya hain...

Chand sikkon mein bik jaata hain insaan yahaan aur tum puchate ho ki mohabbat ki keemat kya hain... *** Jab bhi chaha maali ne toodh liya daali se phool aur tum puchate ho ki phoolon ki keemat kya hain... *** Dard ho jab seene mein jhalak aate hi hain aankhon se aansoo aur tum puchate ho ki aansoo ki keemat kya hain... *** Unke intezaar mein kaati hain humne ro-ro kar raatein aur tum puchate ho ki intezaar ki keemat kya hain... *** Zindagi kab keh de alvida yeh humko maaloom nahi aur tum puchate ho ki zindagi ki keemat kya hain... - Sun

No Afsoos...

Main marr raha hun, maze le raha hun... mrityun to ek din sabko aani hai... zindagi ka beeta hua ek-ek din humein mrityun ke kareeb le ja raha hai... jarurat hai humko ek-ek din ka maze lene ki... jisne zindagi ji le... use mrityun se kaisa beh? 

Alright...Alright... Baby Alright..Alright...

Yeah Ya Ya Ya Yeah Ya Ya Ya Alright...Alright Baby Alright..Alright.. Jab se tumko dekha hai dil hai beqarar bole mera mann aa kar le mujhse pyar!! Alright...Alright Baby Alright..Alright... tum rehti ho nazron mein sochata rehta hu tumko subah, shaam tere bina jeena ab hai mera dushwaar itna samaj lo mere yaar. Alright...Alright Baby Alright..Alright... mere khuda, mere rab tum ban gaye ho bas itna karam kar do ban jayo mere aur apne saanso ko chu lene do.. Alright...Alright Ohhhh Jaane Jaa. Baby Alright..Alright... Sajde mein sar jhuke rehne de sun le meri dua sun le meri itni ilteja aaja mere kareeb aur nazron ko chuum lene de Alright...Alright Baby Alright..Alright.. #Romil Arora

Rangeen

Ek C r a y o n s -Box mein ek se aadhik rang hote hai !!! zindagi sirf black n white nahi ho sakti... balki rangeen bhi ho sakti hai... agar aap chahe to...

Timepass : Peon job

23 lacs applications for 368 peon jobs in Uttar Pradesh.... 255 doctorates... aur engineer, post graduate, graduate ne bhi peon post ke liye apply kiya hai... Isi news se mujhe yaad aaya ek baar maine bhi peon ki post ke liye apply kiya tha... government job hai yaar... Sarkari Naukari... SHEE us samay mujhe bahut samjha rahi thi ki tum MBA hokar Peon banaoge? Mat jana interview daine.... Waise meri pehle government job thi, jise maine apply kiya tha.... first government interview tha... Isse pehle maine kabhi government job ke liye apply nahi kiya tha... Maine socha interview dunga jarur.... Kisi tarah interview wale din interview dene pahucha.... Panel mein se ek ne mujhse pucha education kya hai tumhari? Galti se bol diya MBA... par maine application form par 10th baari thi... Usne kahan tum 10th nahi MBA ho? main tumko apne office mein clerk (ya assistant kahan tha) rakh lunga agar tum mere sawal ka sahi jawab do?  NSE aur BSE main kya difference hai?  Maine kahan mujhe na...

Daag hain sau daaman pe tumhare... ek izafaa aur sahi...

dam nikalata hai ek aashiq ka... bheed hai... aakar dekh to lo...  lakh tamashe dekhe honge ek nazara aur sahi  khanjar lekar sochate kya ho?  Qatal "Murad" bhi kar daalo  Daag hain sau daaman pe tumhare... ek izafaa aur sahi... - Murad Lakhnavi...

The Last Words...

"Aapka, Aaj yahan aane ke liye sukriya !!!"  Meri kabr pe bas yahi shabd likhwana... Is daudati... bhagati... life mein log bina matlab ke zinda logon ko yaad nahi karte... Agar aapke marne ke baad bhi log aapko yaad kar rahe hai to yeh aapka saubhag hai... aapke kiye gaye karmo ka fhal hai... kuch aisa kijiye ki log marne ke baad bhi aakar aapse mile !!!

Shabd toot-toot kar khud rone lage...

Shabd toot-toot kar khud rone lage... Khuda kisi ko likhane ki itni sacchai na de... Bahut satate hai bichade hue rishte Mohabbat mein qaid de rihahi na de... Bik na jaye kahi imaan mera Zarooratein kahin mujhe aapahiz bana na de...  Ab uski ghazalein...  uske sher... uske geet...  uski baatein...  gayab si ho gai hai... Khuda uske diyon ko fir se roshan kar de... - Sun

Is Pal...

Is samay jab mujhko jeene ke liye 4-5 mahine mile hai... Main muskurata hua... swastha dikhata hua... movie dekhate hua.... gaane sunata hua... naye plans banata hua... befikr... nazar aata hoon... Woh isliye kyunki main marne se pehle marna nahi chahta aur nahi chahta mera nau saal ka baccha jab bhi mujhse mile darra hua ya udaas ho... Main jab chhupkar rota hun to yahi sochata hun, mujhe bhi bachpan mein Pita ka pyar nahi mila... aur ab mere bacche ko bhi nahi... Kehte hai... insaan ko har ek pal ko enjoy karna chahiye... us rab ka sukriya kehte rehna chahiye... kya pata Kal Ho Na Ho...

Phool

Main woh phool tha jisse pairon se rounda jaana tha, Magar usne mujhe apni zulf main saaja liya Yaaron! - Sun

Ove Janiya (Male Version) (Full Song) - Mohan Kannan - Katti Batti (2015) - With Lyrics

DELETED

Khoobsurat Salah...

Sabse khoobsurat salah "Sach Bolo"  "Sada hi Sach Bolo"  Yeh apni baat kehne ka aadarsh aur sabse uttam tarika hai...  aur rooh vah mann ki shanti ka bhi...

Plans...

Is baar Navrat, Navratri  Vaishnoo Devi, Katra mein manayenge aur Dushhera Harminder Sahib, Amritsar mein manayenge... Diwali Shirdi mein...

Sabse mushkil kaam...

Mujhe lagta hai is duniya ka sabse muskil kaam... ek pita ka apne nau saal ke bacche ko yeh batana ki uske pita agale 4-5 mahine mein use aur uski maa ko akela chhodkar is dunia mein, hamesha ke liye Rab ke ghar chale  jayenge... Har insaan ke jeevan mein ek samay aata hai jab use apne jeevan ka sabse muskil kaam karna padta hai...  

Haar...

Haar woh gaye, nilaam hum ho gaye... mausam ke mauj ki halki si angadai ne mohabbat-e-safina palat di... woh gair ka haath thamkar saahil pe aa gaye... aur hum... aur hum ishq-e-toofan mein dubb gaye... dubb gaye... Taash ke patton ki tarah khela hai woh meri zindagi se...  Haara tab bhi wahi fhek gaya... Jeeta tab bhi mehfil mein fhek gaya... - ⛅

Brave !!!

Maut se purv mili chetawani ka main aabhar vyakat karta hun... Agar mujhe yeh 5-6 mahine ka waqt nahi mila hota to shayad main yeh kabhi nahi samajh pata ki woh mujhse kitni mohabbat karti hai...  Yahan tak usne mere chehare se maut ka khauf aur chintaein hataa kar har pal khushi ko qayam rakha... Usne ek pal bhi apne aur bacche ke bhawish ko lekar afsoos nahi kiya.... aisa lag raha tha ki woh aane wali har chunauti ka samna dattkar karne ko taiyaar thi... Brave...Brave...Brave !!! Bahut purani kahawat hai... "bure waqt mein hi apno ki pehchan hoti hai..."

Dairy....

Main usse bahut pyar karta tha... isliye shaadi ke 09 saal poore hone aur ek bacche ka pita ban jaane ke baad bhi main uski galtiyon pe use ek shabd bhi bol na saka tha... maine apne krodh ko prakat karne ka ek anokha upaye khoj liya tha... Dairy... Main uski galtiyon ko apne krodh ke saath Dairy mein likh leta tha... "Aaj, woh room ka TV, light aur fan khula chhod kar... gallery mein Whatsss App pe baatein karne chali gai, electricity bill ki parwah hi nahi hai usko..." "Aaj, dinner beswad tha, daal-sabji mein namak jyada tha, kheer bhi jali hui thi... dinner nahi banana tha to manaa kar deti, main bahar se dinner le aata, is tarah khana waste karne ki kya jarurat thi..." "Use office se late aana tha, to woh mujhe call karke bata nahi sakti thi??? meri call bhi pick nahi kar rahi thi, main kitna pareshan tha usko lekar, careless kahi ki..." hahahaha Gussa aana swabhavik kriya hai... Kabhi-Kabhi, chhoti-chhoti baatein khushaal jeevan mein kalahe ka kaaran ...

Samay ki keemat...

Maut se ladati zindagi ne mujhe samay ki keemat samjha di thi... Main janta tha meri zindagi ke 5-6 mahine bache hai aur main in mahino mein sab kuch bhulkar, yahan tak apni bimari, taklef ko bhi bhulakar... apni wife aur bacche ko khushiyaan dene, unke sapne poore karne aur unka jeevan surakshit karne mein lag gaya... Time management... samay ki upyogita sabko samajhani chahiye... apni zindagi ke saath jude logon ke jeevan ko surakshit karna abhi se hi shuru kar dena chahiye...

tumse haar-jeet kaisi

tumse haar-jeet kaisi sitaron ke bistar pe... aashkon ki baarish kaisi... jawani mita kar mitti mein... mili jannat to jannat kaisi... na kabhi mile hum... na iqraar hua... fir yeh aankhon mein intezaar ki lau kaisi... tum afsaana-e-qais kya puchate ho... jab laila apni hi nahi hui to dastaan-e-mohabbat kaisi... na saji baraat... na bahaar-e-mohabbat aai... mehfil mein yeh numaish kaisi... - Sun

बड़ा मासूम है वोह शख्स

बड़ा मासूम है वोह शख्स फकीर को एक रुपिया देकर कहता है वोह महलों वाली मुझे मिल जाये यह दुआ दो!

aaj fhir uski tasveer se baatein karta raha

aaj fhir uski tasveer se baatein karta raha ek aur sitam khud pe karta raha... *** do qadam par tha mera pata woh milane ke liye faisala karta raha... *** andheron ne bahut gher rakha tha mujhe main roshani ke liye dil ko jalata raha... *** usko bhool jayun ya yaad rakhu yahi soch kar main raat bhar jagata raha... - Sun

Aanath...

Aanath matlab Rab ka baccha....  Jiska koi nahi uska to Khuda hai yaaron...

zindagi apni zindagi to nahi

zindagi apni zindagi to nahi hain khushi par khushi to nahi. raaste humse beechade hain to magar manzil bhi to apni manzil nahi. zindagi apni zindagi to nahi... *** hain sahi woh hamare nahi par unki parchaiye bhi to hamari nahi. phool rahe dusaron ki jhooli mein hi magar kaatein bhi hamare nahi... zindagi apni zindagi to nahi... *** aadatan unka humse naazarein churana dekh kar humko mooh pher lena. abhi kuch hi din hue hain unko bewafa hue yeh baatein purani to nahi... zindagi apni zindagi to nahi... *** sunehara guzara hain mohabbat ka safar woh hans-hans kar unse baaton ka safar saath mere unki yaadein hain ab woh baatein to nahi... zindagi apni zindagi to nahi... hain khushi par khushi to nahi... - Sun

Jordan Sandhu - Muchh Phut Ghabru Nu

Image

Usko kabhi dekha nahi mehsus kiya hai maine...

Usko kabhi dekha nahi mehsus kiya hai maine... Aa meri pathar aankhon ko roshan kar de... *** fark bas itna hain... Pehle aansoo uski waafa ko dekhkar aate the... Ab aansoo uski bewafai ko dekhkar aate hain...  *** zinda hain woh fhir bhi kehte ho marr gaye hain mujhse...  aur kitna gunaah karaoge mujhse... nahi hona hain mera to saaf maana kyun nahi kar daite... roz-roz intezaar kyon karwate ho mujhse... - Sun

Chirag bhuj gaye hausala na diya

Chirag bhuj gaye hausala na diya Haawaon main khula chod diya sahara na diya... *** Maine kab kahan tha mere haq mein tu bol Usne to gunehgaar ka saath de diya... *** Sadiyon main uske naam ki ibadat karta raha Bewafa ne to apna naam hi badal liya... *** Itni nafrat ho jayegi apne rishte mein, socha na tha pass se guzara aur haalchaal tak na liya... - Sun

Haar...

Ghar ka darwaza khulte hi... Main bas chaukhat pe khada use dekhata hi raha... aur dino ki apeksha woh aaj jyada hi haseen lag rahi thi... Safed rang ki sitaron wali saree mein lipati hui, ghesu uske khule hue... Usne chaukhat pe hi mujhse mera bag le liya aur mere din bhar ka haal pucha... Woh kuch jyada hi meetha bol rahi thi... usne madhur romantic song laga diya... aaj usne mera pasandida khana, palak-paneer ki sabji, parathe aur kheer banai thi... Dinning table ko bhi bahut khoobsurti se saja rakha tha... usne romantic wife banne ka poora prayas kiya, main bhagyashali tha...  Dinner ki samapti pe woh meri taraf badi... mujhe laga woh mere honthon pe kiss karne aa rahi hai... par woh mere kaano ke pass aakar boli... "maine activa... road pe side mein khadi car ke saath bhida di hai, galti meri thi"... Main bas kheer khate hue uski sunti raha, use kuch na keh saka... Jab aap kisi ki galti pe bhi use kuch nahi bol pate hai to iska artha hai aap usse haar gaye ho... aisa hon...

Mujhse kya puchate ho haal-e-dil tum mera

Mujhse kya puchate ho haal-e-dil tum mera Roye bahut hain lekar naam tera... *** Pagal kaho ya fhir kaho dewana tera Har pal nibhayenge hum bewafai ka vaada tera... *** Do pal saath chale the ki chhut gaya haath tera Yeh maano ya tum na maano Ab saaya bhi nahi raha hain dost mera... - Sun

Yeh Na Socha Tha Ki...

socha tha diwana ban jayunga yeh na socha tha ki tamasha ban jayunga... *** uski haansi par main bhi hanstaa tha yeh na soch tha ki paagal kehlaunga... *** badi aarzoo ke saath sajana chahta tha uski tasveer yeh na socha tha ki uske deedar ko pyasa marr jayunga... *** bahut muskil hota hain marr kar jeena yeh na socha tha ki apni kabr ka chaukidaar ban jayunga... - Sun

Anskh dekar mujhko beqarar karti hain...

Anskh dekar mujhko beqarar karti hain... Yeh yaadein teri sitam baar-baar karti hain... *** Puch na mujhse mera haal kya hain  Woh milan ki baatein hairan baar-baar karti hain... *** Us par haans kar dil ko behlata rehta hu Warna uski muskurahat mujhko pareshan baar-baar karti hain... *** Mujhse milane ka vaada kabhi usne kiya hi nahi Na jaane kyon yeh naazarein intezaar baar-baar karti hain... - Sun

barson beethe uske iqraar main

barson beethe uske iqraar main barson beethe uske intezaar main is umeed se aaj tak zinda hu kabhi na kabhi to woh kheecha chala aayega mere pyar main... - Sun

Khat...

Kisi bhi cheez se jyada, meri wife or mere bacchon ko yeh janne ki jarurat hai ki main unse kitna jyada pyar karta hoon... Is baat ko batane ke liye main jeevit rahoon yeh jaruri nahi...  Mere likhe khat unko, mere jaane ke baad bhi yeh baat hamesha batate rahenge...

Har shaam guzar jaati hain intezaar mein

Har shaam guzar jaati hain intezaar mein Itna nasha hain tere pyar mein... *** Aankhein band karu to tera chehara nazar aata hain Itni siddhat hain mere pyar mein... *** Durr se dekhate ho, tasveerein badalte rehte ho...  haal bhi nahi puchate mera...  Itne bhi dushman nahi hue hain hum pyar mein...  *** Duniya-e-jahaan ko apni barbadi ka afsaana sunane wale Saache aashiq hi mit jaate hain pyar mein... - Sun

Khudki Company...

Salesman ko yeh baat acchi tarah samajh leni chahiye ki woh chahe jitni mehnat kar le, woh company ka maalik nahi ban sakta, maalik banne ke liye use khud ki company shuru karni hi padegi...  Insurance agent chahe kitne insurance kar le, lekin woh insurance company ka maalik nahi ban sakta, maalik banne ke liye use khud ki company shuru karni padegi...

Allah Veh - MTV Season4 Coke Studio

Image

Allah Hooo - Kamal Khan and Diljaan - Video Song

Image

Vasvikta...

Vigyanic Siddhanto ke anusar Bhaura udd nahi sakta. Uska sharir bahut bhari hota hai aur pankh kamjor... Lekin afsos yeh vigyanic siddhant Bhaure ko kaun samjhaye?  isliye woh chamatkarik roop se udata rehta hai...  Log yeh sochate hai Disable People upper nahi ja sakte... jabki vasvikta yeh hai ki Disable People life mein bahut kuch kar sakte hai, bahut uccha mukaam haasil kar sakte hai...

Shuruwat...

Humein yeh nahi bhulana chahiye... kisi Vishal Pedh ki shuruwat ek Beej ya chhote Paudhe se hoti hai...

MasterMinds...

Fhalguni... Tiya... Pooja... Gunjan... Lawrence... Charanpreet... Prateek... Krish... Hunar... Kultaj... Noorie... Waris...Raj....Maxx... Tapish... Romani... Tannu... Noor Noor.... Noori... Preet... Charu... Cherry...

Timepass :Kash mere pass Verna hoti...

baccha-party bajao... Kash mere pas Verna hoti... Verna nahi to Virdi hoti... Diesel ki na hoti tension... Verna hoti air conditioner...  Kash mere pass Verna hoti... Verna nahi to Virdi hoti... Main bhi Swift chalata... Gear par se na pair hatata...  long drive pe use le jaata... Swift nahi to.... Swift nahi to...  Swift nahi to... Sharma hoti...  Kash mere pass Verna hoti... Verna nahi to Virdi hoti... Honda City ka figure hai Better... Joshi ke gaal hai lal tamatar...  Lal tamatar nahi to hari mirch hoti... Honda City nahi to Joshi hoti... Kash mere pass Verna hoti... Verna nahi to Virdi hoti... Wagon R mein girlfriend ghumata...  Dheere-Dheere, Haule-Haule main gaddi chalata...  Wagon R nahi to Rai hoti... Kash mere pass Verna hoti... Verna nahi to Virdi hoti... Alto ke color re acche... Agarwal ki dress se match re karte ... Alto nahi to Agarwal hi hoti... Jitni purani, Santro utni comfort... Santro nahi to Salaria hoti... i10, i20 hai re nay...

Mohabbat...

Mohabbat bhi avishkaar ki janani hoti hai...  Pita ka dard door karne ke liye Aspirin ka avishkaar...  Bibi ke liye Band-Aid ka aavishkaar...  Bacchon ke liye Vicks aur  Q-Tip (Cotton Earbuds) ka aavishkar...  TajMahal banana aur Pahad bhi logon ne isi mohabbat ke liye tode hai... 

Rupiya Banana...

Sirf samaan bechate hue hi nahi, balki samaan kharidate hue bhi rupiya banana chahiye.  Chahe packaging-transport cost kam karke, chahe moolbhav (bargaining) karke...  chahe bichauliye (middleman) hataa ke ya fir chahe bulk mein purchase karke.