tamam umar mujhko uska intezaar to raha

tamam umar mujhko uska intezaar to raha
jeene ke liye dil mein hausala to raha...
***
na laut kar aaya woh
is baat ka dil mein koi gum nahi
kam se kam main, waqt ka gulam to raha...
***
yeh alag baat hain
uske tan-mann mein kisi gair ka haq hain
fir bhi uske dil ke kisi kone mein mera naam to raha...
***
bahut haseen baat hain yeh
zinda nahi, marne ke baad hi sahi
uska mera koiye rishta to raha...

- Sun

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...