Sach se Rubaru... Mera Kamra...

Sach se Rubaru...  Mera Kamra...

Ek chhota sa kamra jo mera hai...
Ghar ki nichali manzil mein mehandi sa ranga dhundhala sa kamra mera hai...
Jahan suraj ki kirano ka bhi dum ghutata hai... Unko aane se darr lagta hai...
Seal bhari deewaron ka pluster jagah-jagah ukhada pada hai...
Mandir ka diya jalta hua meri taqdeer pe rota hai...
Maa-Pita Ji ki tasveer deewar pe latke hue mujhpar hans rahi hai...
Jahan ek purani almirah jo Kapdon, Kitabon, Bhagwan ke bhoj se zameen pe girne ko betab lagti hai...
Activa bhi usi kamre mein jagah pe kabja kiye hue hai...
Purani padi Freeze zor-zor se awaaz kar roti rehti hai...
Naya TV deewar pe marnasann ki awastha mein latka pada hai...

Mera Kamra Mera jeevan bayan karta hai...

- Sun

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...