Main Shabdon ka Sauda nahi karta hun.

Main Shabdon ka Sauda nahi karta hun.
Sach kehta hun,
Sach likhata hun,
Kisi se nahi darta hun...

Tum chaho to kitne bhi baitha lo Thanedaar, Vakeel, Judge
Main Haq ki Vakalat karta hun...

Yeh Darr,
Yeh Khauf
humein na dikhao...
Main Parinda hun, Aasmaan ki Ucchai se nahi darta hun.

Yeh Daulat,
Yeh Mehal 
mubarak ho tumko...
Main qalandar hun, apne qadmo mein TajMahal ko rakhata hun....

- Sun

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...