Sansaar ke logon se asha na kiya karna, Jab koi na ho apna Hare Krishna kahan karna..

Sansaar ke logon se asha na kiya karna
Jab koi na ho apna Hare Krishna kahan karna..
Sansaar ke logon se asha na kiya karna...

Jeevan ke sagar me toofan bhi aate hai - 2
Jo Hari ko bhajte hai Hari unko aap bachate hai
Prabhu ko aaata hai bhakton par kripa karna
Sansaar ke logon se asha na kiya karna... 

Tu jaanle aye bande prabhu tujhse door nahi
Bhakton ko kasth mile Hari ko manjoor nahi
Prabhu khud hi aayenge tu unko yaad kiya karna
Sansaar ke logon se asha na kiya karna...

Yeh do din ka mela yeh desh begana hai - 2
Is sansar se aye prani tujhe laut ke jaana hai
Ye maya ka bandhan hai yahan mann na laga lena
Sansaar ke logon se asha na kiya karna... 

Sansaar ke logon se asha na kiya karna
Jab koi na ho apna Hare Krishna kahan karna..
Sansaar ke logon se asha na kiya karna...

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...