kuch samaj nahi aata kya karu...

kuch samaj nahi aata kya karu...
saal dar saal beetata ja raha hai...
main hasta ja raha hu... aur mann hi mann rota ja raha hu...
khudko khudki nakamiyon mein jakde rakkha hun...
rupiya...mehalo...naam-shohrat ki chahat nahi hai mujhe... fir kya dhund raha hun...
khud se sawal puchata hun aur fir un sawalo ko dhunda karta hun...
main aisa nahi tha... fir aisa kyon hota ja raha hu...
andheron mein rehta hun... roshani se darta hun... 
bheed se darta hun... akela rehta hun...

#Romil Arora

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...