7th December... Dekhate-Dekhate Saal beet gaya...

Dekhate-Dekhate Saal beet gaya...
Woh gaya, Woh kabhi laut na saka...

Na jaane kitne gile-shikve,
Na maine kahe, Na woh keh saka...

Channd Kadmo ka fasla, magar sadiya lagi taye karne mein...
Na kabhi main chala, Na kabhi woh do qadam chal saka...

Maut aai aur apne saath udda ke le gai usko...
Umar bhar apno se ladta raha, magar maut se na lad saka... 

- Sun

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...