bada mann karta hai maa ko maa kehne ka

bada mann karta hai maa ko maa kehne ka...
kisi galat baat par usse lad-jhagad lene ka...
bada mann karta hai maa ko maa kehne ka...

bematlab, befaltu use baatein sunane ka...
chhoti-chhoti baaton pe use gussa dikhane ka...
bada mann karta hai maa ko maa kehne ka...

aankhon mein aansoo bhar kar usse rooth jaane ka...
khane ki saaji thali chhodkar sone ka...
bada mann karta hai maa ko maa kehne ka...

kisi ull-julul cheez ki maang ki zid karne ka...
dair raat ko fhir ghar aane ka... 
bada mann karta hai maa ko maa kehne ka...

maa ke chehare pe muskaan dekhane ka...
bete ke liye woh baada-baada wala dil dekhane ka...
sab galtiyon, gunaho, bhoolon, khatao ko bhool jaane wala dil dekhane ka...
maa ka dulaar dekhane ka...
bada mann karta hai maa ko maa kehne ka...

- Sun

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...