Gulab se Gulab ka jab talluk hota hoga...

Gulab se Gulab ka jab talluk hota hoga...
Dekhane wala kitna pareshan hota hoga...
Khuda ki qaramaat ko Salaam karta hoga...
Kaun jyada haseen hai dono mein yeh socha karta hoga...

Gulab se Gulab ka jab talluk hota hoga...

Lab haseen hai ya fir pankhudhiyan Gulab ki
Nazarein tez hai ya fir kaatein Gulab ke
Kaun saath mein... mere saath mein... jyada haseen lagta hoga...
Gulab Se Gulab ka jab talluk hota hoga...

Kiski khushboo churayun
Kisko apne seene se lagaun
Kisse apna bistar... apna kamra... apna aashiyana... apni zindagi sajayun... yeh socha karta hoga...
Gulab Se Gulab ka jab talluk hota hoga...   

- Sun

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...