kaash tu bhi maire tarah in sardiyon mein tanha hota...
Is mausami mausam mein tu bhi ruswa hota
tu bhi in sardiyon mein akela hota...
~*~
chalta rehta tanhaiyon se bhari sadak par
kabhi tera haath bhi akela hota...
~*~
bhehate rehte tere aankhon se aansoo
jab chand ko badalon se ghira dekha hota...
~*~
teri mohabbat-e-kasti bhi saahil par aakar dubati
agar tujhe bhi manjhi par bharosa hota...
~*~
tu bhi aaj mohabbat-e-gum likh rahi hoti
agar kisi ne tujhe dhoka diya hota...
~*~
kaash tu bhi maire tarah in sardiyon mein tanha hota...
- Sun
Comments
Post a Comment