zindagi ek zehar si nazar aati hai...
jab bhi us shaks ke baare mein sochata hoon to ankh bhar aati hai
zindagi ek zehar si nazar aati hai...
uske andar kitna gussa bhara hoga
andar hi andar kitna woh jal raha hoga
akelapan use khaye ja raha hoga
rishton se use kitni chhid lagati hogi
woh jab bistar par letata hoga to ek gehri sooch mein doob jata hoga...
zindagi ek zehar si nazar aati hai...
dard mein woh kise pukarta hoga
apni khushi...apni baatein woh kisse keh pata hoga...
apne khawabon ki kahani woh kise sunata hoga...
mandir mein kitna akela hoga
kaise akele khana khata hoga
koi na hoga uske rang-roop ki taarif karne wala...
koi na hoga uska mazaak bana kar... use hasane wala...
zindagi ek zehar si nazar aati hai...
ek-ek saans ke saath ghulati chali jaati hai...
- Sunny

Comments
Post a Comment