yaad hai mujhko woh chhup-chhup ke rona

yaad hai mujhko woh chhup-chhup ke rona
chirag bhujana aur tere khaton ke saath lipat ke rona...

kabhi karna Rab se tera gila
kabhi tera naam apne aansuon se likhana...

yaad hai mujhko woh chhup-chhup kar rona...

lagana tujhpe hazaron bewafai ke ilzaam
khud hi tujhko apne ilzaamo se rihaa karna...

yaad hai mujhko woh chhup-chhup kar rona...

chhupana logon se apna chehara
apne saaya se bhi chhup ke rona...

yaad hai mujhko woh chhup-chhup ke rona...

- Sun 

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...