Woh bata kar jaata to aacha hota
Woh bata kar jaata to aacha hota
Hum intezaar mein raatein na bitate to aacha hota...
*
Yunh hi na jalta rehta diya meri dehlez par
Woh bhujha kar jaata to aacha hota...
*
Mere zakhmo ko nasur bana diya haawaon ne
Woh haawaon ko samjha kar jaata to aacha hota...
*
Duniya wale na kehte mujhe pagal
Agar woh mera saath nibha kar duniya se jaata to aacha hota...
- Sun
Comments
Post a Comment