mujhe samaj nahi aata...

mujhe samaj nahi aata us insaan ke baare mein kya likhu
guroor
swabhimaan
ahankaar mein qaid...

apni hi dhun mein jiya...
na kisi ki kabhi suni...
na kisi ki kabhi parwah ki...

rishta tooda to toodh diya
saath chhoda to chhod diya
na ek baar bhi peeche palat kar dekha
na koi kisi se hamdardi
na kabhi kisi se madad li
na kabhi dard mein kisi ko pukara...

mujhe samaj nahi aata us insaan ke baare mein kya likhu...

fir sochata hoon...

woh insaan kitna andar hi andar jalta hoga
kitna kuch uske andar bhara hoga, jo woh kehna chah raha hoga
kitni tadap... kitni ghutan... kitni baichaini rahi hogi...
magar chup
kisi se kuch na kehta hua
na shikwa na gila...

bas maut ke mooh mein sama gaya...
kitna dard woh apne mann mein lekar chala gaya is dunia se...

- Sunny

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...