zindagi mein kami... aakhir kab tak... kab tak...

zindagi mein kami... aakhir kab tak... kab tak...
intezaar ki ghadi... aakhir kab tak... kab tak...

tere jhootein vaadein... jhooti baatein...
meri wafaoon ka khoon... aakhir kab tak... kab tak... 

tera apna abhimaan
mera jhoota swabhimaan  
yeh rishton ka toofan... aakhir kab tak... kab tak...

tujhe apne iqraar pe bhi inkaar
mujhe apni nafrat se bhi pyaar
yeh zidd ka safar... aakhir kab tak... kab tak...

- Sun

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...