raat bhar tak-taki laga kar chand ki taraf dekhata rehta hu main
raat bhar tak-taki laga kar Chand ki taraf dekhata rehta hu main
shayad Chandani bankar woh mere aangan mein utar aaye...
~*~
aankhen intezaar karti hui dekhati hain aasman ki taraf
shayad aansoo bankar woh meri aankhon mein utar aaye...
~*~
ibadat karta rehta hu us Khuda ki is dua ke saath
woh jahan bhi rahe khushiyoon ke kamal khil jaye...
~*~
aakhiri aarzoo hain Khuda se bas itni
mere janaze ki mitti, uske pairon ko chu jaye...
- ⛅
Comments
Post a Comment