na is kadar yaaron apna bura haal hota...
{gum-e-dil main dooba hu
aur aaksh na aaye aankhon mein
main insaan hu khuda nahi}
__________
na unse naazarein milati
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
***
yunhi na guzarati apni zindagi chaar-deewaron mein
na apni shaamo pe kaale baadalon ka dera hota...
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
***
dube rehte na hum yunhi mohabbat-e-gum mein
na apni khushiyoon pe saawan rota...
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
***
do qadam hi unke saath chale the
ki chheel gaye paav hamare
thoda aur durr jo unke saath chalte
to na jaane kya apna haal hota...
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
***
na unse naazarein milati
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
- Sun
Comments
Post a Comment