Uski mann ki baatein bhi sun liya karte the

Uski mann ki baatein bhi sun liya karte the

Kabhi hum bhi mohabbat kiya karte the...
***
Yunhi nahi hamare gile-shikwe par ro padta hai aasman
Kabhi usse, uski baatein bhi kar liya karte the...
***
Mere ghar ke andhere ko dekh kar kyon karte ho aapas mein baatein
Kabhi is ghar main Chand bhi utara karte the...
***
Hamare jaisa kahan milega aashiq Romil
Kabhi jo pathar de jaye chooth... us pathar ko Rab maan liya karte the...

- Romil RaJ

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...