Hamare liye naqaab kar laite hain woh

Hamare liye naqaab kar laite hain woh
zamane bhar se be-naqaab milate hain woh...
***
Naam badalne walon se shikayat kaise
pal bhar main to kapadon ki tarah emaan badal laite hain woh...
***
Apna mat kehna usko warna tu pachtayega
apna bana kar loot laite hain woh...
***
Na karo itni mohabbat tujhe Rabb ka wasta deta hu
sar jhukane wale ka sar qalam kar daite hain woh...
***
Jinko tum apni nazaron main basa kar rakhate ho Romil
Apne paav ki juuti, garibon ki izzajat ko samajhate hain woh...

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...