chalo lafzon ki ek dunia banaye

chalo lafzon ki ek dunia banaye
kuch haal-e-din tum humko aur hum tumhein sunaye
roz subah uthate hi ho ishq ki do-chaar baatein
raaton ko hum suhane lafzon se sajaye....

chalo lafzon ki ek dunia banaye...

kabhi jhalla kar suna do tum khadi-khoti baatein
kabhi hum tumhein meethi baaton se manaye
kabhi mere lafzon mein ho hari mirch
kabhi tumhare hoonth mishri se gungunaye...

chalo lafzon ki ek dunia banaye...

$ultan

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...