Bas aise hi..

Door se suni hai apni tarif bahut tumse
Kabhi kareeb  aao baahon mein bharkar peeth bhi thap-thapa do yaar...
=== 
Yeh jo likhkar tana marne ki aadat hai tumhari... sach mein bahut kharab hai...
Jo baatein sunani hai samne aakar suno lo yaar...
=== 
Meri qamyabi, meri tarakki, meri khushi, mera sukh sab tumhare haaton mein hai...
In baaton ko jitna jaldi samajh jao.... utna accha hai yaar...
===
Bahut baras ho gaye indradhanush nahi dikhata hai aasman mein...
Kabhi samne aakar humko apne har rang se wakif karwa do yaar...

RA



Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...