main apne saath apne gum bhi laaya hoon...

kisne kahan...
kisne kahan...
main chhod aaya hoon

main apne saath apne gum bhi laaya hoon...

yeh mat samjho main sab bhool gaya hoon khataiyein teri
main apne saath teri bewafai ki kitab bhi laaya hoon...

muskurana to maa ne shikhaya hai
baat-baat par tunukna to naaz ne sikhaya hai...
main teri seekhai hui cheez "nafrat" bhi saath laaya hoon...

sehar bhi, dopahar bhi, shaam bhi, raat bhi
sab mile hai is shehar mein 
fir bhi
main teri di hui intezar ki lau bhi saath laaya hoon...
======
Rang se to kaali hai
magar saadgi uski dil lene wali hai...
payal chamm se chanak kar uski dil pe churiyan chalane wali hai...

woh neela suit
woh chandi ka jhumka aur chandi ka kangana uska
nazrein mila kar nazrein fher lena uska
mujhe dekhkar kaam mein mashgul rehne ka dikhawa karna uska
woh ____ wali dil lene wali hai...

"sambhal kar kaake.... jutti na pade tere ko... hehehe" 

#Romil Arora

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...