Chhoti-Chhoti Baatein...

Chhoti-Chhoti baaton par ladane ko dil chahta hai
Kabhi tumse rooth jaane ko to Kabhi tumko manane ko dil chahata hai...

Kabhi dal mein nikal aata tha chhota sa kankar
Kabhi ghar aata tha main bahar se pet bharkar

Kabhi bed par main laga deta tha kitabon ka jamawada
Kabhi  bijli bill ka jo jyada aa jaye bhada...

Kabhi raat bhar main light jalakar padta rehta tha
Kabhi pani ka nal jo tumse khula rehta tha...

Kabhi purani bhuli bisri baaton par mujhe tumhara baatein sunana
Kabhi mera pathar ki tarah akd jaana...

Chhoti-Chhoti baaton par ladna... Itna pyar ki kabhi na ek-dusare se alag hona... yaad aata hai...

#Romil Arora

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...