main fir se chahta hoon khuda hona

main fir se chahta hoon khuda hona
wahi masoom sa sach bolta golu-bhalu sa baccha hona

na fikr zindagi-e-jahan ki
na khushamad, chaplushi, makkari ka mujhmein hona
main fir se chahta hoon khuda hona 

na deewana ban daulat ke peeche bhagana
na kisi ke ishq mein raat-raat bhar jagana
na kisi bhi burai se mera vasta hona
na aankhon ka yunh jillat se jhuka hona
na khuda ki banai dunia-na khuda se vasta hona

bas paalane mein haste-muskurate-rote-gungunate jeena...

main fir se chahta hoon khuda hona
wahi masoom sa sach bolta golu-bhalu sa baccha hona.

ro+mil


Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...