koi charcha nahi Modi ji ke siva
koi charcha nahi Modi ji ke siva
BJP mein koi sunta nahi RSS ke siva
Advani ji karte bhi kya wafa ka siva
unko mila bhi kya sazaa ke siva
dil sabhi kuch jubaan par laaya
Jaswant ji ke pass koi rasta bhi to nahi bacha tha nirdarliye ummedvar banne ke siva
kaiye chehare dikhate hi nahi aajkal
Yashwant ji ko koi puchata hi nahi videshiyon ke siva
jiska karo virodh, usi ko kar liya jaata hai party mein shaamil
kuch nahi kar pati Sushma ji, twitter par comment ke siva
Rajnath ji ne cheen li unki seat
Tandon ji bechare karte bhi kya sirf gila ke siva
Modi ji ne taana aisa tanashahi ka teer
Joshi ji ke pass bacha bhi kya tha seat chodane ke siva
Jinhone khadi ki thi Party
Unhi ki ho rahi hai aaj behzati
dunia-e-jahan karti bhi kya "wah wah" ke siva
ro+mil
Comments
Post a Comment