jab bhi teri yaadon ka jhooka mere pass aaya

jab bhi teri yaadon ka jhooka mere pass aaya,
zinda hu main bhi yeh ehsaas dilaya
inn baharo ki khushboo le sakti hu main bhi,
inn ghatao ke saath udd sakti hu main bhi,
yeh dil jo meethe palon ko yaad kar dhadakta hai,
...... uske arman poore kar sakti hu main bhi,
tabhi aachanak !!!
suraj ki tez garam roshni ne chauka diya,
us roshni ne dikha di apni zindagi ki sacchai,
kuch majbooriya,
kuch bandhan !!!
us pal na jane woh hansi pal,
woh ghataye,
woh bhini khushboo,
woh suhani zindagi 
kahan ojhal ho gai,
bas reh gai main ......................
wahi ...................... ADHURI ??

Raj ke bagair Gunn adhuri hai, aur yeh haqiqat hai, chalo chodo.

Gunn

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...