Dogali zindagi jiya na karo

Maa se seekha hai...

Dogali zindagi jiya na karo
Khari lage jise tumhari baat lagne do.... Baat sacchi hai to sacchi kaho...

Aitbaar kabhi khud se kisi ka uthane mat dena
Vaada karo... to jaan dekar bhi poora karo...

Chinta chaddo, aachinta raho
Rab se ardaas karo, uspar bharosa karo...

Imaan bechana nahi kabhi tum chand sikkon ke liye
Sar utha ke jiye ho, Sar utha ke maro...

Ro+mil

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...