dunia-jahan kehti hai ki
dunia-jahan kehti hai ki tu Khuda, zarre-zarrey mein nazar aata hai
magar tu to ek bhookhe bacche ki bhookh bhi nahi mita pata hai.
ro+mil
khuda hoga tu Shehansha kahin ka
magar bikata tera but rupiya ke bina nahi.
ro+mil
yeh hakikat hai kitabi baatein nahi
gunah ka hisab koi mangata nahi
rupiya hi chala raha hai is sansar ko
mujhe to khuda kahi nazar aata nahi.
ro+mil
Comments
Post a Comment