apni mohabbat par badalon ka pehra hai

apni mohabbat par badalon ka pehra hai
chand ke charon taraf ghor andhera hai

kai taaron ki us chand par nigahein hai
mujhe zameen ki bandishon ne ghera hai. 

bas intezaar us pal hai
jab chand badalon ko cheer kar fir se khilega
mere andhere dil ko roshan karega.
safar mohabbat ka theda-meda hai...

apni mohabbat par badalon ka pehra hai....

ro+mil

naukari chodkar din bhar jutiya chatkate fhirte ho
zindagi ko aawaragardi-hawan mein udate fhirte ho
kya tumhare baap-dada kothi-daulat chhod gaye hai 
ya tumhara sasur collector hai lucknow hai
jo jab dekho activa par udaan bharte fhirte ho... 

hehehe

ro+mil 

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...