Bhuli Bisari Baatein
Bhuli Bisari Baatein
Ladkiyon ke aagey-peeche bahut udankhatola ban kar firte rehte ho... Janab kabhi to ek rab... ek mohabbat... ek dost... formule par yakeen kiya karo...
"Ab NaaZ tum mujhe Allah ek hai, yeh sab mat samjhane lagana..., na mujhe muslim banna hai... okay"
Sultan hum to bas itna keh rahe the ki hamesha EK mein yakeen karo... kisi ek se mohabbat karo, kisi ek ke ho jao...
Aapko to pata hai Sultan, jab Krishna Yug mein Krishna Ji ke pass hote hue bhi, Hanuman Ji ne kabhi bhi Rama simran nahi chhoda, Hanuman Ji ne har yug mein keval Rama ko hi apna bhagwan mana... hamesha Sita Ji ko bhi apni mata maana... jabki woh jante the Sri Krishna bhi Rama ki tarah Vishnu Ji ke avtar hai, fir bhi unke man-mandir mein hamesha Rama Ji hi the... Radha, Subhadra, Rukmani bhi Laxmi Ji ke roop the Sita Ji ki tarah, fir bhi unhone keval Sita mata ko puja...
Har Yug mein naye bhagwan, sant aaye, Guru Nanak, Shirdi Wale Sai Baba, Mahavir Jain, Gautam Buddha... par Hanuman Ji jo har yug mein hai, fir bhi woh hamesha Rama Ji ko hi pujate rahe...
Samjhe Sultan Ji... jab aapko kisi ek se sacchi mohabbat ho jayegi tab aap hamari baaton ko yaad karoge... us din aapko nazara ayega us ek insaan mein saari dunia... samjhe...
"Okay Dadi amma ji... ab ghar ki taraf chale"

Comments
Post a Comment