Use rota hua dekha, khushiyon ka pal kho gaya

Use rota hua dekha, khushiyon ka pal kho gaya
Aye dil-e-naazuk tujhe kya ho gaya

Usse bichad kar badi karta tha jeene ki baatein
Do din hi beetein hai tu to tanha ho gaya

Chehare par na jaane kyon guroori ka mukhauta laga rakha hai
Ek dil hai jo judai mein shola ho gaya

Chal tujhe meri qasam hai, usse do baatein hi kar le
Pyar mein yeh kaisa fasala ho gaya.

- Romil

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...