Garibi... Mein bhi anand hota hai
Garibi... Main bhi anand hota hai..
Ninth class thi... Aminabad Inter College mein padta tha...
Maa roj 10 rupiya deti thi... 8/- rupiya aane-jane ka kiraya hi hota tha... 14 saal ki umar thi... 2/- rupiya bachata tha... usmein chai-nasta kuch ho nahi pata tha... isliye paidal hi aaya-jaya karta tha... maa se aur rupiya mangate accha nahi lagta tha... aur doston ke saath chai nasta bhi ho jata tha.. ghar se college durr bahut tha main Haidarganj ke pass rehta tha aur kahan Aminabad... bahut door tha.. magar rastee mein Mahila Degree college ki ladkiyaan mil jati thi to aaram, se baatein karte-karte rasta kat jata tha.. un palon ka bhi apna anand hota tha...

Comments
Post a Comment