chalo usko sabak seekha diya jaye

chalo usko sabak seekha diya jaye
aasteen mein chupe saanp ka fhan kuchal diya jaye

bahut magrur hai andhiyaan apne guroor mein
chalo inko bhi apna dam dikha diya jaye

aur

jiski koi kahani na ban saki
us waaqiye ko bhula diya jaye

aur

takra na jaye kahi meri maa andhere mein 
ghar ke darwaze par ek diya chala diya jaye

- romil

Comments

Popular posts from this blog

Man Chhod Vyarth Ki Chinta Tu Shiva Ka Naam Liyeja

Chalta jaye samay ka ghoda...